man ko Control karne wali dincharya aur niyamavli ! Shri Hit Premanand Govind Sharan Ji Maharaj
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Maharshi odiya Baba ko bhi ek upasak ne prashn kiya tha ki maharaj ji man kaise ruke to odiya Baba ne uttar diya niyam palan se yadi ham niyam par dridh rahe to man hamara kya kar sakta hai niyam to paramatma dekhta hai ham log niyam par dridh nahi rahte isi se hamare desh ki durdasha hai sandhya vandan tak ka niyam jaata raha hai bhajan karne ke liye niyam ki badi avshyakta haan bade niyam ki avshyakta hai to jaise prat kal se sayam kal tak ki har vyakti ki apni ek dincharya honi chahiye aisa nahi ki aaj ham 4:00 baje uthe kal 7:00 baje uthe par phir man ko aap control nahi kar payenge man ke liye ek dincharya honi chahiye ki hamko 10 baje sona hai 4:00 baje uth jana hai to phir char se savar nahi hona chahiye 4:00 baje uth jana aisa niyam bana le aur uth kar ke hamko thodi der naam jap karna hai thodi der hamen vani ji ka gayan karna hai thodi der hamen dhyan ek apni dincharya phir ham apne sansaar ke karya ke niyam jo sansaar ke karya unko bhi karte hue bhagwan ko samarpit karen jaise jo pad mein hai
jo aapko rashtr seva mili hai jo aapko samaj seva ke pad mile ya aapko jo ghar ki seva ke karya mile unmein bahut dharm purvak aacharan hona chahiye agar aap adharm aacharan karte hain apne pad ka durpayog karte hain to aap subah jag karke thoda mala chala lijiye phir bhi aapka kalyan nahi hoga kyonki aap apne pad ka apne seva ka durpayog kar rahe jaise ham jante hain ki adrma aacharan hai yah adhami hai hamen pata hai doshi hai aur wah hamko kuch dhan de deta hai aur ham usko mukt karwane ki baat sochte hain aur
jo nirdosh hai usko phasa dete hain ab tum chahe jitna mala chalane ki koshish karo ya dan punya karo wah tumhara adharm aacharan wah adharm ka dhan tumhen sat marg mein nahi chane dega niyam lena chahiye ki jis pad mein hai jis dharm mein hai jis kartavya mein hai chahe kuch bhi ho jae ham apne kartavya se vimurkh nahi honge jitna jab mahan hai utne kartavya mahan hai donon baten samjhna hai mala phera aur iske baad beimani adrma charan inka koi niyam nahi hai ki hamen kaise chalna hai to voh mala kam nahi kar payega kyonki uska tabhi satya bhav mana jaega mala japla jab dharmachakra machar niyam se bole va bade kattar niyam wale hain unko ghus nahi aap unko bhayabhit karke nahi kam karva sakte pralobhan mein kam nahi kara sakte yah hamari grihasth hai na to grahasti ke palan ke liye dhan chahiye aur dhan ke liye ham dharm ko age rakhen dhan ko nahi dharm ko hamara kartavya kya prayah jaise pujya Baba ne kaha aaj hamare desh mein bahut durdasha ho rahi hai durdasha ho rahi kyon kyonki sab apni jagah se galat gat
ho rahe hain agar apni jagah ham theek rahe to hamari durdasha nahi hogi hamara bhajan kam hoga lekin ham dharm se chal rahe to ham vijay honge ham bhagwan ko prasann kar sakte kyonki hamen jo karya mila hai wo bhagwan ka hi karya srishti bhagwan ka karya jaise naye bachchhe kuch wakil vakalt padh rahe the to yahan aake prashn kiya tha ki ham jante hain ki wah doshi nahi hai ham jante hain ki va doshi hai par doshi hamen paisa de raha hai to ham vakalt padhi isiliye ham usko jitaenge y kya koi paap hai to hamka khula paap hai bole nahi hamari koi aisa company do aisa kuch bole ki hamari company ko ye yah sikhaya jaata hai to hamko to ek karna hi hoga agar nahi karenge to hamari vakalt ka matlab kya raha nahi vakalt ka matlab adhami ko mukt karvana nahi hai vakalt ka matlab adhami ke sabut ekatrit karke usko dand dilwana hai aur dharmatma ko mukt karvana hai ab iske liye aapke paas arthvyvastha agar kamzor bhi hai to dharm vyvastha aapki puri hai dharm vyvastha theek hai to parivaar svasth rahega sukhi rahega
bhagwan aap par prasann rahenge accha phir hamne tark rakha ki jaise aapki bahan ke saath koi galat vihaar kare aapko pata hai aur wah aapko 10 lakh rupya ghus de to kya aap uska paksh lenge nahi to phir dusri bahan ke saath kiya hai ab yahan vichar karna hai na apne bhai ka agar katl kiye ho mujhe pata ho ki yah doshi hai to kya ham paise se usko mukt karne denge lagega ki jaan ki baji laga denge aur tumhen ham aise hi ek garib aadmi ki kisi ne hatya ki to aapka paksh banta hai par yah gyan kahan milega bina adhyatma ke gyan to milega nahi gyan to is baat ka mila ki kaise paisa kamaya jae accha wo paisa yadi adharm se aaya hai to aapki durdasha kar dega aapki buddhi bhrasht kar dega to jo Baba kah rahe ki aaj hamare samaj ki badi durdasha ho rahi uska karan yahi hai ki hamen adhyatma ka gyan nahi hamen dharm ka gyan nahi aur badi-badi galtiya ho jati hai bilkul pata hai aadmi nirdosh hai aur ham dhan ke prabhav se usko dand de dete hain wo danda bhagwan jab aapko palat kar denge to
aap sah nahi paoge uska parinaam bahut bura hota hai isliye samaj ko chahiye apne apne kartavya ka palan karte hue ek niyam vali bana le jaise kuch dukanon ka niyam hota hai ki wahan phiksa ret hota hai nahi hota wahan ye nahi chalega ki kasam se kahte hain ki tumhen ham apna jaan kar ke ki 00 rupya meetar y mila hai ham bilkul munafa nahi le rahe nahi jhooth kyon bol rahe ho dukan khole munafa ke liye jhooth kyon bol rahe ho nahi lenge munafa ham jitne ka laye usse munafa lenge par 0 meetar denge kapda badhiya hai na fit hai isse niche nahi utrenge hamen safai dene ki zaroorat nahi hai ki ham kasam khate hain ya aisa jante ho bijli hai dukan hai naukar lage hain to iska munafa lene ke liye dukan khole koi dan karne ke liye to nahi to sabko pata hai munafa lega lekin ek phiksa dam use 10 20 rup ka munafa lekar ke ham usko bech rahe lekin jhooth kyon bole bole jhooth ke bina dhanda nahi chalta nahi aisa nahi hai ab asatya bologe to usse jo aapko munafa mile va aapki buddhi bhrasht
karega aur satya hai ki munafa ke liye wahi chij aur aap ek phiksa ret mein de rahe badhiya hai ab agar aap koi milavat karke bhojan samgri de ra aapko pata hai to jo khane wale ke hriday mein baithe hue bhagwan hai wah tumhare jeevan mein milavat kar denge tumhara jeevan mahan dukham ho jaega y kahan samjha jaata hai ek aadmi sinthetik doodh bana raha hai usse kaho y apne bachchhe ko pila nahi pilae phir ye dusre ka bachchha jab piega to uski halat kya hogi dusre sharir mein jaega to halat kya hogi wah keval dhan
ki buddhi rakh raha hai ek aadmi ghee mein chemical mila ra hai ek aise abh padaarth mila wah swayam nahi khega lekin hotlon mein bheja jaega hazaron lakho log khaenge bimari badhegi usko rupya se matlab hai yah chij yah durdasha har jagah dharm ka gyan na hone ke karan fail rahi nahi fail rahi ek marij bimar hai asli davaon mein paise zyada hai nakli dawa lekar ke asli ke dam mein bech dena usko bilkul fayda na hona lekin paramatma dekh raha hai tum jante ho nakli dawa hai va to nahi janta bechara zyada padhe likhe nahi kisan aadmi ganv ka aaya hai tumne de diya aur usne paisa diya isliye ke ab wo paisa tumhari buddhi bhrasht karega tumhare parivaar mein kalah paida karega aur tumhara patan kar dega aise har department mein har vishay mein yadi ham apne dharm se chale apne satya se chale aur thoda bhi bhajan hoga wo aapko uttam gati pradan karega par aisa kahan samjh mein aa raha adhyatma ke bina bhala aisa samjh mein aayega to isiliye kah rahe hamare desh ki durdasha ho rahi purwajon mein pehle yah tha
ki hamara dharm nahi jana chahiye chahe pran chale jae hamara charit nahi jana chahiye chahe sarvasv nasht ho jae aaj iski koi parvah nahi to usi se buddhi bhrasht ho jati hai jeevan ek pashu aacharan wala ho jaata hai aur wah apne ko bada sukhi samjhne lagte hain ki hamare paas bada vaibhav hai lekin pyare us din ko yad karo jis din tumhara akhiri samay hoga na tumhara pharma haus jaega na mahal tumhara jaega na bank balance jaega na koi vyakti aur na yah sharir aap tumhare karm tumko bhogwa jaenge us samay ki kaun yad karta hai agar us samay ki yad ho to bh lag jae ki nahi nahi paap nahi karunga kyonki jana yahan se accha kab jana kuch pata nahi hai kisi bhi samay transfer ho sakta hai is sharir se to hamen lagta hai ki mahapurushon ke jo vachan hai ki hamen ek niyam se jeevan jeena chahiye dharm purvak jeevan jeena chahiye apne kartavya ka palan karna chahiye jo hamare liye kartavya aaj praya dhan pradhan buddhi hone ke karan kartavya swabhav ho raha hai ek vidyalay mein vidyarthi ke
liye jo guru pad mein baitha uska kya kartavya hai wah apne kartavya ko bhula hua hai bhala chhote-chhote vidhyarthyo ko jinki new pure rashtr seva mein samaj seva mein y ban sakte hain agar unko ham sahi shiksha nahi di to unka pura jeevan barbad ho jaega agar unko ham galat support kar diye to unka pura jeevan barbad kyonki naya jeevan hai aur jagah-jagah apne-apne kartavyon ka yadi palan kiya jae to pura samaj sukhi ho jae lekin kartavya hin ta aa ra koi apne kartavya ko nahi samjh raha hai to yahi baat mahapurush janon ko dukh lagta hai ki agar sab apne kartavya ka palan karen dharm ka palan karen bhagwan ka naam jap karen to sab sukhi ho jae sukh sab chahte hain aur aacharan dukh wale karte hain isiliye sukh nahi mil raha hai parinaam mein hamen dukh mil raha hai sachchi manna voh rupya pure parivaar mein ashanti paida kar dega aur dharm purvak 00 rupya laoge aur char panch parivaar ke baithkar namak roti khaoge anand se sooge bada pyar rahega bhagwan ki kripa rahegi par yah baat samjh mein nahi aati hai to ye
vritti agar chhodi na jaegi to kuch bhi kar lo kahin bhi dan punya kar lo labh nahi milega agar dan dene ki baat kahi gayi hai to dharm purvak kamae hue dhan se agar aap mehnat se kamae ho na ra de doge na to ra ka wo ata lakar agar do roti khega to khub bhajan hoga va aap ek lakh rup beimani ka rakh doge na to baithe baithe ho gande sochega bhajan le hoga uska ganda sochna aur aapka ganda karna donon milkar ke uske karan bhi to aap bane na to aapka hi patan ho jaega usko to bhagwan bacha lenge kyonki bhagwan
ki sharan mein hai to mujhe lagta hai adharm ke dhan se kabhi kisi ko labh nahi milta to apne kartavya ka palan karte hue yadi naam jap kiya jae to bahut jaldi hamko labh prapt ho jae bahut sundar matlab ye charcha hoti hai agar aap log isko dharan kar le to nihal ho jaenge sachchi kah rahe ye jo baten hain ye bahut sundar jeevan ko pusht karne wali hain par aap dharan kar le to baat hai nahi nahi to jaise labh dikhayee de raha 5 haj tay baten bhul jaoge ye baten achchhi nahi lagegi yar bahut badhiya kam ghar mein aayega par hamari yah baat dhyan rakhna 5 haj ghar mein ashanti paida kar dega sachchi manna aap dharm se chalna dharm se chaloge to bhagwan tumhari raksha mein rahenge adrma charan dekho kaisi kaisi ghatnayen hoti hai badhiya kar hai filmi gana lagae chal rahe hain aur wah accident hua aag lag gayi bahar nikal hi nahi paye va andar hi jal gaye kya hua yah karodon rupaye ki kar bhuj diya tumko andar baithal ke dhu dhu karke aag lag gayi andar jal aise jalna chahte ho ya bhagwan ke anand mein chintan karke sharir chhote ho phir
da sanskar ho aise ki sab log bhagwan ke naam ka kirtan karte hue ja rahe phir aapka antim sanskar wahan jivit jal gaye kya ho sakta hai ek ek pal tumhare karm ka hisaab hoga ek ek second ka he aise karm karo ki hamara accha hisaab ho bura hisaab yah mat samjho koi dekh nahi raha wo dekh raha hai jisko hisaab kar la hai wo dekh raha hai uske liye koi wakil ya kisi sabut ki zaroorat nahi hoti wo sarvantaryami aapke andar baithe dekh raha hai to sadaiv jaise satsang sun rahe hain to agar hath jod ke prarthna hai thodi bhi baat man loge to aap sache sukh ke marg mein chalne lagoge nahi to bhai bahut gandi hawa chal ra hain maya ki bahut gandagi aisi fail rahi kalikaal hai na ki yah baten kisi ko pasand nahi aati wo baat batao ki ham kitna rupya kama le kaise kitne bhog bhog le aur wo adhyatma mein nahi hai aapko sach dhoke mein mat rahna adhyatma mein hai jitna aap dharm se chaloge utna sukhi hoge aur lok mein jitna dhan mil jaega utna sukhi mana jaega lekin wah sukh nahi hai wo chand minute ke liye
hydrogen ki tarah jalenga fyuz ho jaega aur dharmatma deepak ki tarah jalenga par bahut kal tak chalta rahega in baton ka chintan kijiye khub naam jap kijiye aur bhagwan ke bhrose rahie gande aacharan mat kijiye m
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1401 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- sant bhagwan ke prashn par maharaj ji ne sadhna jeevan ke liye kya updesh diya? — maharaj ji kuch ham logon ko aap bata den ki jaise sadhna jeevan mein kya kaise kuch bhi aap apne mukharvind se kuch sab baton ki keval ek hi baat hai na vishay chintan hone pave na vishay kriya bas…
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …