hamari dincharya kaisi honi chahiye ? Brahmcharya ki anokhi shakti
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
suneeta ji surat se Gurudev aapke charnon mein pranam maraj ji paramarth ke liye hamara kya purusharth ho jo purane praarabdh ke bandhan kat jaen aur bhakti marg par hamari dincharya ke kya niyam hone chahiye ismen pahli baat to samasth purusharth ka param purusharth bhagwan ka naam hai ham jitna naam jap karenge utne hi va hamare praarabdh ko bhogne ki samarth dega aur piche ke sanchit karmon ko bhasm karega aur kriy man pavitra ho aisa hamko gyan dega naam jap karne se jitna ham naam jap karenge aur sabse zyada kami yahi hai ki naam jap nahi hota aur sab prapanch ho sakta hai aur sab ho sakta hai lekin ghanta do ghanta ek tar naam japar dekho aap karke dekho sabse kathin kam hai mano ham aapko bol rahe Radha ab aap do ghante 24 ghante mein dijiye ki jismen Radha naam ka vismaran na ho ek tar Radha naam chalao adhar adhar dhar adh do ghante dimaag tumhara dekho kaisa tumhara dimaag ho jae bina sanyam ke aap aisa nahi kar sakte aapka brahmcharya theek hona chahiye aapka ahar theek hona chahiye aapke vihaar theek hone
chahiye tabhi aapke naam mein ruchi hogi yadi sharir pavitra nahi vichar pavitra nahi to phir bhajan kaise ho jaega bhajan param pavitra hai bhojan sudhar ab aajkal log bhojan par sudhar ki drishti kya pashuta si chal gayi hai kaise bhi pet bhare swad ke liye va kahin bhi kha sakte hain yah nahi dekha ja raha hai kaun bana raha hai kaise bana raha hai kitna apvitra hai kaise hai aur wo bas garam garam jahan swad wali baat na to sab hotel ka pasand karne lage ab hotel ka bhojan ham kahte hain pet bhale bhar jae lekin na wo swasthyavardhak hai aur na wo buddhi shuddh rahne dega aapki buddhi ko bhrasht karega kyonki banane wale kis bhav ke hain banane wale kaisi pavitra rakhte hain bhojan ab aapke samne to phrai karke daal aa gayi ab wo pach din se ubli wahi rakhi fridge mein pach din se ubli hai aur pach din se jo gaya usko phrai karke diya va aapke liye swasthya ke liye bhi theek nahi to bhakti karne ke liye paramarth ke liye ahar shudhi bhojan shuddh ho chahiye aapka dekhna theek hona chahiye ham puri bhakti ki mul jad
aapko bata rahe hain agar aapka dekhna sahi nahi man lo aap tv dekhte hain tv mein gandi baten mobile mein dekhte hain laiptop mein gandi baten dekhte hain to aap bhul jao ki aap bhakti karoge bhakti nahi hogi bhajan nahi hoga chintan wahi chalega jo ham dekhte hain aap gandi baten sunte hain aap gandi baten bolte hain to aapka vichar bhi ganda hi rahega dekhna sunna bolna bhakti mein teen ka bahut bada prabhav hai kathan shravan sumiran sevan chit laav archan bandan aruda santan sakhya aur atma samarpan yah nav lakshan bhakti badhai tab tin prem lakshna pai phir prem ka jagran hota hai pehle hamara shravan theek ho isiliye mahaprabhu Harivansh chandra ji teen baton ko kah rahe rasna kato jo an rato nirakh an phuto nain shravan phuto jo an suno shri Radha jas ban hamari juban kat jae jo Priyalal ke siva kuch bole netr foot jae jo Priyalal ke siva kuch dekhen kan hamare foot jae jo Priyalal ke siva kuch sune ab mobile mein bahut sab prapanch bhara hua sansaar ka jo log mobile ka prayog durpayog kar rahe hain
gandi baten dekh rahe hain gandi baten sun rahe hain wahi gandi baten vichar mein ayengi wahi cheshta hogi bhakti kya banegi natak ho jaega bhakti ka natak ho jaega isliye dekhna sunna bolna is par sanyam lao khana aur pina is par sanyam lao uthna baithna kiske saath baith rahe ho kya vihaar hai agar kusang hai to satsang ka sevan karo kusang ka tyag karo tab aapke andar bhav pavitra honge naam jap karoge to paramarth ki pusht aayegi aur bhagwan ki bhakti khub leela katha sunne se bhagwan ki leela katha ka gayan karne se bhagwan ki seva karne se archan vandna sashtang dandvat aur unka naam kirtan karne se isse bhakti pusht ho jati hai agar hamara yah aacharan shuddh na hua to nautanki ho sakti hai bhakti ki natak ho sakti hai bhakti ki dum pakhand ho sakta hai lekin wah bhakti nahi hogi jisse hamare andar anand ave aur jab tak anand nahi aayega tab tak paap karm ruk nahi sakta ye dhyan rakhna bina hriday ke anand ke hamare bahari jo paap karm hai wo nahi ruk payenge wo matlab keval baten banana hoga shuddh bhakti nahi
hogi isliye ahar shuddh karo khanpan vihaar shuddh karo aise logon ka sang tyag karo aur mobile sabke paas rahta hai isliye iska naam liya hai iska durpayog mat karo isse satsang suno isse achchhi baat karo anavashyak chijon dekhna anav matlab ab to hamko to gyan nahi tha ek din ek bhakt ne yahan shikayat ki ki paise wala usmen gem hai kya paise wala juaa jise ganv mein juaa kahte hain paise wala usmen gem hai aur usmen lakho rupya harkar log depression mein jakar ke kahin na kahin wah apne sharir ko nasht karne ki prakriya pe aa rahe hain to kyon galat prayog karte ho mobile se accha prayog hota hai dekho mobile na hota to aap yahan na ate mobile se satsang sunkar ke aap yahan aae hain to usse sahi marg chayan karo usse sahi baten suno dekho mobile hai koi khatra hai aap turant dusron ko sahyog kar sakte hain apne ko bacha sakte hain phone kar sakte hain suchna de sakte hain bahut se usse labh bhi hain to labh prakaran ko lijiye jo hani karne wala prakaran hai usko mat chhedie usmen sab kuch hai to
usko gandi baten mat dekhiye to jinke paas mobile hai wah savdhaan rahe durpayog uska na karen sadupyog karen aur apna sang dekhen agar galat sang hai to hamara bhajan mein bahut badha padegi jake sang kumti mati upaj karat bhajan mein bhang tajo re man hari vimurkh ko sang to vimurkh janon ka sang tyag karo bhojan sahi karo aur naam jap karo dekho bhakti rang lane lagegi ab new saheena ho to building kitni bhi badi ho giri jaegi brahmcharya naam jap yah do paramarth ki new samjh lo grihasth mein ho to bhi santan utpatti ke liye shastr adesh karta hai va ka shesh samay brahmcharya raho to aapki smriti aapka bal aapki chetna jagrit rahegi bade se bada dukh sahne ki samarth aati hai brahmacharya mein agar brahmcharya hai to bade se bade dukh mein bhi aap apni dincharya nahi rokenge aapke andar power rahega khanpan wala power alag hai wo to charbi badhaega brahmcharya adhyatma power pusht brahmcharya sankalp power pusht brahmcharya sardi garmi barsat pida inko sahne ki samarth usmen aati hai isliye hamari
prarthna hai ki agar vastvik jeevan sahi anand mein jeena hai to grihasth ho to uchit brahmcharya ham nahi kah rahe ki antik brahmcharya uchit brahmcharya samay par apne grihasth dharm mein utar gaye nahi to brahmcharya se khanpan pavitra hai vihaar pavitra hai bhagwan ki leela katha ga rahe ho naam charcha bhagwan ki mahima sun rahe ho naam jap rahe ho ab isi se kam ho jaega andar se naam jap karo aur bahar se jo seva kar rahe ho bhagwan ko arpit kar do pavitra aacharan pavitra bhojan bhagwan ko arpit kiya hua isi se bhagwat prapti ho jaegi naam par lago naam dekho andar jap karke agar naam jap nahi ho raha to sab bekar ho sab natak ho jaata hai maya bahut badi balvan hai wo phir nahi chalne deti naam jap naam jap se hi sab kam banega ji
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1401 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- sant bhagwan ke prashn par maharaj ji ne sadhna jeevan ke liye kya updesh diya? — maharaj ji kuch ham logon ko aap bata den ki jaise sadhna jeevan mein kya kaise kuch bhi aap apne mukharvind se kuch sab baton ki keval ek hi baat hai na vishay chintan hone pave na vishay kriya bas…
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …