॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bachchhe ya log paise mange to kya dene chahiye ya nahi ?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

kabhi raste mein kuch bachchhe evam hasht pusht log jo kam kar sakte hain wah dan dakshina ki maang karte hain main kabhi-kabhi bade sankoch mein par jaata hoon ki sahayata karun ya na arth ki direct sahayata bahut vichar se karni chahiye aapke paise se wo mans kharid sakta hai wo galat aacharan mein jhua khel sakta hai wo drag se le sakta hai aapko sharir poshan ke liye chahiye to ham bhojan de sakte hain hamari jitni samarth hai ham aapko vastr de sakte hain paisa dene mein patrata ki baat dekhni hai aapne age likha hai ki kuch logon ne isko vyavsay bhi bana liya bilkul bilkul darshan karne Radha vallabh ji ke ja rahe the to ek bachchha ek mahila ek chhota bachchha ek purush kaha Baba ji Baba ji suno suno kaha ji to u kaha main maharashtra ka hoon to train mein hamara Mathura mein sab kuch lut gaya main Vrindavan paidel aaya hoon yahan darshan bhi kar liye ab wapas jane ke liye paise nahi de sakte aur dusre din dekha va dusre vyakti ko fansa ke khada kiye hue wo hamse baat hi nahi kiya va wo to jis aadmi ko phasa rahe the

wo to chala gaya wo hamse baat hi nahi ke chal diye to hamen laga inka matlab vyapar hai kyonki aise mangne mein -20 denge aur kirae ki usmen ab bachchha hai stri hai beta hai to lagta hai ki baat satya ho gi ho sakta hai inki jeb kat gayi ho sakta hai inki beg koi utha le gaya ho jo jhooth hai chhal kapt hai itni safai se kiya jaata hai ki apne log to samjh hi nahi sakte wo to agar dusre din dikhayee nahi deta to hamari samjh mein nahi aata phir hamen samjh mein aaya ki matlab itni jor ka hamko dan punya bahut sambhal ke karna hai bahut sambhal ke karna hai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi