॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

pita ji ne adharm ki kamai ki jisse ghar barbad ho gaya, ab kya karen ?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

maharaj ji aapke charnon mein koti-koti pranam maharaj ji hamare pita 2009 mein padhar gaye the maharaj ji pita kisi ek department ka naam likha hai adharm ki kamai rishwat aadi se hamara palan poshan hua makan jismen ham rahte hain use bhi paise se usi paise se banaya unki is galti ka parinaam yah hua ki pure parivaar ko bhogna para mata ji ka swad bigad gaya chhota bhai nashe mein chale gaya aur uski padhar gaya aur kahte hain us makan mein rahna chahiye kya uski galti ka parinaam hamen bhi bhogna padega hamari buddhi galat marg par na chali jae maharaj ji hamen bhayabhit ho ab naam jap kijiye aur khub naam kirtan kijiye jad vastu hai makan usko ham pavitra kar sakte hain pita ne galat kiya to jo kuch parinaam unko bhogne ko mila parivaar ko mila ab naam kirtan bhagwan ki katha varta bhagwan ki aarti puja shankhnad agarbatti dhupbatti ka dhua to pura makan pavitra ho jaega ganga yamuna jal chhidk de kabhi kisi sant mahatma ko bulakar baitha la ke pawa de unki juthan gire ghar pavitra ho jaega aur age aapke

dwara galti nahi honi chahiye maharaj ji aapke satsang aur aapke margdarshan ke dwara yahi samjh mein aaya hai ki ab jo ho gaya usko to badla nahi ja sakta lekin ham ab apne bhog ke liye na us paise ko istemal karen zyada se zyada seva mein us paise ko de zyada se zyada dusron ki madad jae wo pashu jaisa aap bolte hain ki pashu ki seva karie aap beemaron ko bahut si aisi gauve hain bachhde hain san hai jo bhukhe pyase tahal rahe hain ya bahut si aisi gaushala hain jinko suvida nahi pahunch pati hai agar is tarah ka dhan hai to aise de dena chahiye jisse gau seva ho wo jo hamne dusre ka shoshan kiya to kisi ka poshan karega tumhare pita ko bhi anand milega haan ek unka unke prati bhi lagta hai ki unka mangal ho wo jahan par bhi gaye hain par hamko yah bahut accha laga ki aap jo savdhaan hai aur aap apni baat bata diye ye ham samaj ko batana chahte hain ki yadi aap adharm se paisa kamaoge ghus se kamaoge beimani se kamaoge to tumhen to bhogna hi padega tumhare parivaar ko bhogna padega haan

bilkul isliye bhale ₹1 kamao moong ki daal aur roti khao saikil se chalo lekin tumhara parivaar bahut badhiya rahega tumhara jeevan to accha rahega tumhara parivaar bhi bahut susajit ho jaega aur adharm se kamaoge to dekho bure karmon ke dwara kamaya hua dhan kabhi sukh nahi de sakta wo jalae pure jeevan jalae tumhen yah bahari jo beimani ka paisa hai nirdosh ko aap dand de diye aur doshi ko bakh diye to paisa aake aapke aag nahi lagega yah bahut adharm jo hai kabhi bakhta nahi isliye hamari prarthna hai ki namak roti bhale khao lekin dharm purvak kamai ka adharm ki rabri mat khao nahi to jeevan barbad apna bhi karoge apne bachchon ka apne parivaar ka bhi karoge maharaj ji ham to bas aapko aapne nihal kar diya matlab aapne jo naam diya hai aapne jo dham diya hai aapki naam jap karo aur jo arth aapki seva se zyada hai wah gau seva mein de do anya sevaaon mein de do aur dharm purvak chalo dharm se jine mein shanti hai sukh hai anand hai adharm mein ashanti hai dukh hai klesh hai

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi