॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

jab ek bachchi ne kaha, marne ke baad to sab kuch yahi chhut jaega.

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Baba ji jaise aap jitne marji amir ho aapko jo paise hain wo upar kabhi koi leke nahi ja sakta bhagwan ke ek bar Sikandar badshah tha to wo bharat par vijay prapt karke ja raha tha bade anand Gosh se nagade bajae ja rahe the to ek sant jo hai nachne lage samne jake to Sikandar ne kaha de isko kuch to unhone kaha nahi main tumhen dunga thodi hamse baat suno aap to badshah ho bade veer ho to khush hua ek sui nikali aur dhaga nikala bole ham garib Baba ji hain yahan hamare kapde phat jaate hain to sil lete hain to parlok mein suna hai ki wahan sui dhaga nahi milega to aap bade veer hoe sui dhaga le chalna aur parlok mein hamen de dena bole parlok mein kahin kuch jaata hai bole yahi baat tumko samjha rahe hain ki hazaron ki gardan utarte ho apne ko veer samjhte ho dusron ko kasht dete ho aur le yahan se tum ek sui dhaga bhi nahi jaoge ab hosh aa gaye Sikandar usi samay shant ho gaya aur kaha jab Sikandar mare to hath bahar nikal dena itna mehnat karke kamane wala yuddh karke kamane wala Sikandar khali

hath ja raha hai kuch nahi de jaega ye baat samjh pa rahe ho kya rato ga krishna krishna rat krishna krishna rati hai Krishna Krishna rato theek hai yahi jaega saath saath ye jaega ise koi nahi cura sakta ye naam hi jaega saath

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi