॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

Holi par pujya maharaj ji ka sandesh! Kya karen aur kya na karen ?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

maharaj ji jaise aaj Vrindavan ki Holi shuru ho gayi hai aur agle 4 din tak Holi chalegi. Maharaj ji bahut sare yuvak yuvatiyaan aapko sunti hain to aaj aapka koi sandesh sab bharatvasion ham to sabse yahi prarthna karenge ki Holi mahotsav prahalhad ji ke dwara prakt kiya gaya hai. Jab Prahlad ji kisi bhi prakaar hiranyakashyap ke marne se nahi mare to uski bahan holika thi. Wah hiranyakashyap ko udas dekha. Usne kaha bhaiya udas kyon ho? Unhone kaha yah Prahlad mar nahi raha. Unhone kaha aaj mar jaega.

lakdi ka bahut sa dher lagaya jae aur usmen lekar ham Prahlad ko baith jaenge to hamen agni se vardan mila hai. Ek pat shital pat jisko ham mod lenge to hamara rom bhi nahi jhulsega aur Prahlad mar jaega. Bada prasann hua hiranyakashyap. Usne bahut lakdi ka pahar lagaya. Usmen aisa banaya jismen Prahlad ji ko lekar unki bahan baith gayi. Prahlad ji ki bua hui. Hiranyakashyap ki bahan aag laga di gayi. To bhagwan ki kripa se aisi vayu chali ki shital pat Prahlad ji ke upar aa gaya aur wah jalkar rakh ho gaye.

to jitne Prahlad paksh ke the subah wahan jab gaye to dekha Prahlad ji baithe hue hain. Bade aandit dhol mara kirtan se Holi ki puja ki aur aapas mein gulal rang lagakar khel rahe naam kirtan kar rahe pad ga rahe hain ki Prahlad ji bhagwan ki bhakti se bach gaye to ye utsav manaya ja raha hai ye log jo sharab pite hain gande harakten karte hain ek dusre ke chehre par kalik potte hain naliyon mein ye hiranyakashyap paksh ke hain ab wo bhi to utsav baname kaise baname to wo nali nali mein naliyon mein gobar kichad uski hirankashyap paksh ki party aur ek hoti sadhuta ki party ek dusre par

gulal lagae Ram Krishna hari bole aur baithkar pad gayan kiye aur khub gujiya aur mithai bhog laga ke thakur ji ko aur paye anand manaye to hamari samasth deshwasiyon se prarthna hai koi bhi vyasan na kiya jae vyasan utsav ko kharab kar deta hai jaise sharab hai aur bhi hukka hai drugs hai koi bhi nasha mat karo phresh mind se bhagwan ka naam jap karte hue pad gayan karte hue Holi ka anand lo nashe mein Holi ka anand thodi hota nashe mein to mudhta chhaa jati hai mudhta mein anand kahan to koi bhi nasha is Holi utsav mein na kiya jae aur ham anand purvak bhaeechara banate hue ek dusre ka sammaan karen pyar karen jo hamse dushmani mante hain Holi ke din ham unke bhi ghar jaen aur unke gulal lagave aur unse se pyar karen.

hamara ek bhi dushman vishv mein na ho. Yahi sabse badi hamari prarthna hai. Hamare aacharan pavitra ho. Hamara vihaar pavitra ho. Hamara chintan pavitra ho to Holi sarthak hai. Nahi kitne log nasha karke jhagda kar lete hain. Kitne log apni hani kar lete hain. Accha aankh kitni sukshm vastu hai. Uski aankh mein agar dekhne mein kami aa jae ya chot lag jae. Gulal to gulal kichad phenkte hain. Kapda faad dete hain. Sharab piye udandta ye sab theek nahi hai. Aisa Holi utsav na manaen jo sabhyta ke khilaf ho, samaj ke khilaf ho, hamare dharm ke khilaf ho, adhyatma ke khilaf ho.

aisa koi karya na karen. Sabse pahli baat hai ki sharab na piye. Jo sharab pite hain Holi utsav mein swaha kar den. Aur dusri khas baat hai mans na khain. Kyonki aap bhale jeev hatya nahi karte lekin aap hissedar hue kyonki aap kharid ke late ho aur khate ho to aap ahinsak hi mane jaoge. Tisri baat kisi mata bahan ke taraf gandi drishti mat dekho. Jaise tumhari bahan aise dusre ki bahan to aap pavitra brahmcharya rahie aur jo apni patni hai usi par anurag kijiye. Ye teen baten chhorne ki koshish kijiye.

sharab, manush, vybhchar

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi