॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

jab ek bachchhe ne pucha-maharaj ji, aap itne bade sant kaise bane ?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

dada vallabh shri harivanj maharaj ji ye janna chahte hain ki aap itne bade sant kaise bane? Bade kahan hai? Sab teen hath ke hain to ham bhi sadhe teen hath ke hain. Bade kisse hote hain? Bade ke ho jane se hote hain. Sabse bade kaun hai? Kishan ji. Kishan ji unke ham chela hain isiliye bade ho gaye. Kishan ji hamare guru hain. Isiliye ho gaye. Bade ke ho jao to bade ho jao. Loha footpath mein para. Pairo ke niche thokre kha raha tha. Paras mani ne chu diya to sona bankar devtaon ke mukut mein lag gaya jake to yah lohe ki mahima thodi hai.

yah to paras mani ki mahima hai jo us lohe ko chu diya. Aise hi ham ek sansari jeev anant janmon se bhtak rahe the. Bhagwan ne kripa ki. Apni sharan mein le liya. Bas itne bade bhagwan unhone hamen apna liya. Bas isi baat ki badhai hai. Aur kis baat ki badhai hai? Bhagwan ne hamen sweekar kar liya. Bhagwan ke ham das hain. Wah hamare Swami hain. Kyonki wah itne bade hain to bade ka sevak bhi bada hi hota hai. Swami se judne ke karan hai. Yah isiliye to namaskaar hai ki ham bhagwan ke das hain. Ham bhagwan ke jan hai to ham kishan ji ke hain isliye itne bade ho gaye.

theek hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi