॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ghar mein Aquarium mein machhliyan ek-ek karke mar gain. To kya mujhe paap lagega?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

maharaj ji aap kah rahe hain ki aapne ek inkwayriyam lagaya tha ghar mein jaise shishe ka hota hai jismen machhli aadi rang birangi machhli jo drishya ke liye to usmen kah rahe hain ki wo ham unko khana bhi samay par dalte the jaisa jo bhi sab dhyan rakhte the bat ek-ek karke sari machhli mar gayi maharaj ji isliye kah rahe hain ki wo abhi unka paap mujhe lagega kya nahi ab ek to hota hai ayu pura hona jaise uski ayu pura hai to aap amrit mein rakho to bhi mar jaegi aur ek hota hai hamse truti ho jana jaiseki wo aapka personal intjam hai na wo koi samudra to hai nahi ki Bhagvati intjam hai wo aapka personal intjam hai us machhli ke liye agar aapke dwara usmen koi kami nahi hamen to iska gyan hai nahi man lo unko jo khurak chahiye unko jo oxygen chahiye unko jo jine ke liye chahiye wo aap vyvastha kar rahe ho iske baad ek ek marti ja rahi hai to agar unki ayu puri ho gayi to koi bacha nahi sakta aapke dwara wo unka ahar vihar hai aur usmen truti ho gayi to baat alag hai.

ab hamen to pata nahi hai ki na usmen kya-kya chahiye. Haan unko jeevan jine ke liye kya-kya vyvastha chahiye. Agar wo vyvastha aap kar rahe hain aur phir bhi mar gayi hai to ek ayu bhi to hai na samapt hone ki. Tumhen machhli ke marne par shok hai aur log machhli to kaat ke khate hain. Ye to bada accha hriday hai aapka ki aap uske vishay mein bhi shokit hain. Haan ji. Jaise na char hi rah gayi to matlab man hai aur jaise pehle zyada thi matlab 15 16 thi to ab dobara lai jae ya man nahi kar raha kuch mat lao yar kahe ka haan batlao apne so ke liye koi truti ho jae jeev kahe ko mare par bahut badhiya hriday yar sab jeevan se pyar ho sab jeevan ka dular ho sab jeevan ko jine ki prakriti mein haan chhut hai lekin jinko apni jaban ki chat aur apne sharir ki pushta ka bhav hai wo log aisa karte hain.

aap shokit na hoiega.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi