॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kya sadhu ko dusron ke liye puja-anusthan karna chahiye ?

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

Ashutosh swaroop ji Kailash ashram rishikesh se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji kya sadhu ko dusron ke liye puja path anusthan karne chahiye sadhu jiski drishti mein dusra koi hai hi nahi bahu naam janm navante gyanvan mam prapaddyate vasudevasa mahatmas durlabh jab tak jad chetan jag jeev jat sakal kal Ram mein jaan yah anubhav nahi hua tab tak hamen aur koi karya nahi karna. Pehle yahi karya karna hai. Pehle apne ko jeevan mukt karna hai. Jab jeevan mukt ho gaya to sarvatra bhagwan par kya anusthan karna?

kiske liye anusthan karna? Koi dusra hai hi nahi. Ek paramatma matra hai. To ye to uprohit karm ho jaega. Sadhuta thodi hai. Yah to uprohit karm ho jaega. Bhakton ke anusthan karana puja path phal rupya paisa lena wo purohit karm hai wo koi sadhuta nahi sadhuta mein udar poshan ke liye madhukri vritti akash vritti aise vrittiya ajgar vritti aisi pavitra vrittiya dharan ki gayi hai pra log jaise hain ki jo prabhu de de usi se palan hota hai na mangna hai na kahin dan peti hai na kahin koi fees hai bhagwan jo hamen de denge usi se hamara barangpur khub chal raha hai ya madhuri vritti char panch ghar maang li sadhu ko kisi ko bhay dikha ke ya kisi anusthan kara ke ya koi karya karke ye bharan poshan karna sadhu ki vritt nahi hai ye to sab pakhand hai maharaj ji wo agar pandit se hi hua agar jaise pandit kul se hi ho tabhi bhi nahi kar sakta kyon sadhu sadhu ko kul se kya lena dena hai?

sadhu ek alag vastu ho gaye. Jati pat kul karm dharm vrat sanskriti hetu avidya nasi sadhu ko ye nahi kaha ja sakta. Sadhu to sirf sadhu hai. Sadhu kul wala nahi rah gaya hai. Sadhu to bhagwan ka swaroop ho chuka hai. Wo achit kulatri ho gaya. Wo bhagwan ka swaroop ho gaya. Bahut sare sadhu maharaj ji aisa karte hain to anuchit hai. Haan anuchit hai. Apne ko nahi karna chahiye. Dusre jo kuch karen bhagwan jane ham unki ninda nahi karenge. Haan sadhu ke liye uchit matlab agar prashn hua to uttar hai sadhu ke liye anuchit hai.

yah dharm yukt nahi hai. Yah uski mariyada se vilag hai. Tasma shastram prmanam te karya karya vyavasthito sadhu ke udar poshan ke liye yah jo vrittiya rakhi gayi hai unhin se apna bharan poshan karen. Shastr viparit bharan poshan na karen. Sahab ab aapke paas vastr nahi hai. Kisi ne dekha de diya to lapte liya. Nahi hai to digambar ghum rahe hain. Hamne to apne aap ko bhagwan ko de diya hai. Agar wo vastr mil raha hai. Ham kisi se vastr mangenge thodi. Vastr de diya to lapte liya. Nahi diya to digambar ghum rahe hain.

bhagwan de hi dete hain. Aisi vyvastha kar hi dete hain. To jo vyvastha ab jaise kisi vyakti ne aapko ₹500 diye to aapko vyakti se koi prichay nahi puchna. Koi matlab nahi rakhna. Agar zaroorat hai to ₹500 le liya. Bhagwan ne de diya. Ab us vyakti ko dhanyavaad nahi bhulna. Us vyakti ka chehra nahi dekhna ki dobara mile to phir ham usse naye nirapeksh vritti rakhni chahiye. Nirpekshm munim shantam nirrwairam sam darshan anujamyam nityam putang bhi jo nirapeksh hai kisi ki apeksha nahi rakhta.

jo mannsil hai, jo nirwair hai, jo shant hai, jo samdarshi hai, wahi sadhu hai. Usi ke charan raj ke liye bhagwan kah rahe anubrajabham nityam putan bhi to sadhuta ek bahut singhwat hai. Chah miti chinta miti manva beparwah. Kisi ke anusthan karane ki zaroorat thodi hai. Wo dekh le to pavitra kar de samaj ko. Uske sharir se vayu nikalkar dusre sharir ko sparsh kare to pavitra kar de. Sumiran naam pavitra daras parasnas mam bhakti yukt bhan panasu satar sati sa lokta deti teerthi kurant teerthani ye sadhu hai sadhu ka jo swaroop hai teerthi kurwant anusthan thodi karata hai uske darshan is par sambhshan matra se lok ke lok pavitra ho jaate hain ji

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi