॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

logon ki baat ka bura na lage aur fark na pare - kya ye sambhav hai?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

maharaj ji logon ki baton ka bura na lage aur unki baton par dhyan aa jae iska kuch upay hai? Ham laukik drishti se agar pagal aadmi hamko int mare gali de to kya lagega? Are yar pagal aadmi ek bhut lag jae to aadmi pagal ho jaata hai na. Ye panchbhut lage hue hain. Pagal nahi hai. To wo kuch bhi bol sakta hai. Wo kuch bhi kah sakta hai. Kuch bhi kar sakta hai. Ham logon ko chahiye kshma karen. Usse kleshit na ho. Unko dand na den. Palat kar unko gali na den. Gali ko sah le. Yahi bhakt ka swabhav hai.

samne wale ne gali diya, muskura diya. Kyon? Kyonki uske paas yahi samgri hai. Itr lagaya hoga to khushbu dega aur agar sharir mein badbu hai to badbu dega. To uski jaban gandi hai. Wo gandi jaban de raha hai. Ham nahi le rahe. Khatm. Agar pagal aadmi bole to jalan hogi kya? Agar kuch bolna bhi chahoge to apna hi man kahega yar pagal aadmi waise bechara mar raha hai. Usko kya bologe? Wo pagal hai. Hamko aise logon ki baten nahi sunni chahiye. Agar sunai bhi de to pagal hai aisa karke taal de. Yah hui vyavahrik ki aur adhyatmik ki baat sab mein paramatma baitha hua raha hai.

wo hamko majbut karne ke liye pratikul paristhiti paida karke hamen ko dridh kar raha hai. Jaise to hamen thakur ji bullet proof bana rahe hain ki koi boli mare to ab tute na. Boli mare kaisi bhi boli mare aur hamara hriday dukhit na ho to hamara hriday bullet proof ho gaya. Ye pratikultaa anukulta pratikultaa anukulta sahte sahat sahat sahat baadh hai bhagat grah tan guru hitkar

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi