॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

koi ek baat sunata hai to main use char baat suna deti hoon, kya karu?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

maharaj ji agar mujhe koi ek baat sunata hai to main use char baat suna deti hoon. Samne wale ne gali di. Hamne char gali de diya. Ye to sansarikta hai aur bahut sochti hoon. Phir man ashant ho jaata hai. Phir maharaj ji bahut jiddi swabhav ke ho gaye ho. Jitne bhi hamare andar malintaen hain wo bhagwan se vimurkh hone ke karan hai. To hamare andar jo sansarikta hai usko dur karne ke liye hamen bhagwan ki sharan mein jana hoga. Bhagwan ki aradhna karni hogi. Bhagwan ki leela katha sunni hogi. Bhagwan ki leela katha ka gayan karna hoga.

ghar mein baithkar ek adhyay roz gita bhagwat ka gayan karo. Dekho aapki buddhi shuddh hoti hai ki nahi. Aap mein kshamta aati hai ki nahi. Ab dekho tv ke serial aur manmani aacharan kiye jaen aur phir socha jae ki ham daivi sampada dharan karen to asamabhav hai. Yah daivi sampada hai ki koi hamen gali de aur muskura ke chale jae. Ye sadharan kshamta thodi hai. Samne wala hamen gali de raha hai. Muskura ke chale gaye. Yah de daivi sampada hai. Yah bhagvatik sadgun hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi