॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

shrikrishna apne sharanagat bhakton ki raksha kis prakaar karte hain?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

ek bar param rishi Durvasa ko Duryodhan ne char mahine seva karke prasann kiya. To Durvasa ji bade siddh mahapurush hai aur shaap aur vardan dene mein samarth hai aur kroadhi bhi hai. Ab wo jalta tha pandavo se. Yadyap us samay Pandav vanvas mein the. To usne kaha ki prabhu char mahine hamare yahan aapne seva ka avsar diya. Ek din hamare bade bhai yudhishthir ko bhi seva ka avsar dijiye. 60 hazar shishya saath mein. Par aise samay mein jaiye jis samay Draupadi ne surya ke dwara di hui batloi se prasad pa liya to bhagwan surya ne ek bat loi di thi aur us batloi ka prabhav tha jab tak Draupadi ji pa nahi lenge tab tak chahe karodon arabon log aa jae usi se sara bhandara ho jaega usne badi ganit lagai thi ki jab jaenge to akhirkar nimantran dena hi padega rishi aae hain ki aao maharaj pao wo khwa payenge nahi ye saanp de denge wo nasht ho jaenge ab Durvasa ji soi pahunch gaye yudhishthir ji to dharmraj ka swaroop hai.

unhone pranam kiya sab rishiyon ko aat sweekar kijiye. Unhone kaha haan main yamuna snaan karke aata hoon. Tum vyvastha karo. Ab 60 hazar rishiyon ki vyvastha Draupadi se pucha aapne pa liya. Unhone kaha haan pa liya. Wo murchhit hokar gir gaye. Draupadi ji ne unko chetna lai. Bole kya ho gaya? Unka 60 hazar rishiyon aur aise rishi dusra ho to kshma bhi kar de. Durvasa ji to kshma karne wale nahi. To unka ek surya ke dwara hui di hui batoi par aapko itna vishwas tha aur pure vishv ko jo pavata hai shri Krishna par aapka vishwas nahi hai.

je hi vinay ki to dekha wo bhagwan padhar Draupadi bhookh lagi to kaha jis samasya mein ham fase usi samasya ki aap baat kar rahe ho 60 hazar rishi Durvasa ji aae hain. Bole ye sab baten baad mein pehle hamen bhookh lagi. Kaha prabhu bhookh lagi hai. Bat loi to pa ke rakh diya. Bole le aao bat loi. Bhala koi pavitra nari patr jhutha kyon chhod ke dhoke rakh de usmen kuch laga rahe dusri baat vardan tha ki Draupadi ke pa lene ke baad batule mein kuch nahi rahega aur usmen bhagwan ne sheet nikala ek saag ki patti aur je apne mukh mein dala aur vishwatma hai na bhagwan sabke hriday mein virajman kaha jao bulao rishiyon ko bole prabhu koi vyvastha nahi bole jao to tum aur wahan sab yahan tak bhar gaye kyonki bhagwan tript hue sab bhim bulane gaye Durvasa ji ne kaha ki hamari to ichchha bilkul ab ek achman karne ki bhi nahi rah gayi.

shisyo se shisyo ne kaha guru ji aur jo adesh karoge palan karenge bhojan ki baat mat kahna. To unhone kaha beta vardan maang lo lekin hamen bhojan ke liye mat. To unhone kaha jis bhavna se Duryodhan ne aapko bheja tha wo usi bhavna ko prapt ho jae. To Duryodhan ne vinash ki bhavna se bheja tha vinash ko prapt ho. Jo dusht prakriti ka hota hai, wah badi se badi sadhna ka phal bhi dusron ka nash mangta hai. Aur dusron ka nash mangne wale ka dusre ka ho ki na ho uska pehle nash ho jaata

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi