॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

jo hamesha jaldabaji mein rahte hain wo jara dhyan se sunen

▶ YouTube

shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.

pura pravachan

ashish Sharma ji Delhi se Radhe Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji man vichlit sa rahta hai jaldabaji mein asantosh ki sthiti rahti hai hamesha vyast rahte hain jisse jeevan mein dukh aur nahi ham kah rahe hain kab tak jaldabaji karenge akhirkar mrityu bhi to aa rahi hai ab uska to pata nahi hai na ki kal ho jae ya par ye jaldabaji kab tak rakhoge kabhi to vishram kijiye kabhi to dhairya kijiye kabhi to apne antim parinaam ki taraf jhaank kar dekhiye ki aap jab yahan se jaenge to aap kya le jaenge. Wah chij to kama rahe hain ki nahi kama rahe hain jo le jana hai.

is desh ki koi bhi chij nahi jane wali. Sharir sahit sab kuch yahi chhut jaega. Uske liye jaldabaji hai. Aur mrityu aa rahi hai. Wo tumhari ek-ae second gin rahi hai. Jis samay akhiri second hoga wo chahe jawan ho, chahe budhe ho, chahe balak ho, chahe garb mein ho, chahe garb ke bahar ho. Wah mar degi. Ab jab yahan se ham jaenge to hamare paas kya hai? Yadi naam jap kiya hai to hamare paas hai ya paap karm kiya hai, punya karm kiya hai wo hamare paas hai. To zyada kya hamne kiya hai? Ye marne ke pehle ganit laga lo.

agar paap kiye hain to us gathri mein aag lagao. Naam jap karke, tirth yatan karke, dusron ko sukh pahuncha karke jaldabaji zyada theek nahi hai. Kab tak karte rahoge? Pura jeevan ho gaya. Kabhi vishram bhi to sochiye kab vishram milega. Yah ho jae, phir yah ho jae, phir yah ho jae, phir yah ho kram bana hi rahega. Aaj tak kisi ka aisa nahi hua ki ab main o yah karna hai, yah karna hai, yah karna hai. Yahi bhram bana rahta hai. Lekin mujhe bhagwat prapti karni hai. Mujhe bhagwan se milna hai. Mujhe ab is janm mein aisa bhajan karna hai ki agla janm na ho.

iske vishay mein kaun sochta hai? Agar yahi sab karte rahe sharir chhut gaya to phir pata nahi kaun si yoni prapt ho suar kutta gadha unt kitni yoniyan hai phir ham jaldabaji mein kuch nahi kar payenge to hamen vivek chahiye ham naam jap karen bhagwan ka chintan karte hue karya karen aur bahut dhairya purvak karya karen jaldabaji mein kabhi bhi hamara sharir chhut sakta hai hamare hath kya lagega isliye savdhaan rahie pavitra bhojan pavitra vichar pavitra aacharan aur naam jap to aapka jeevan accha rahega. Phir man shant rahega.

phir prasann rahega. Kitni jaldabaji. Kya kya ek karya ho to ek karya ek pura karoge panch khade ho jaenge kam. Panch pura karoge 50 vyvasthaye lag jaengi. Ye maya hai. Ye kabhi chain se kisi ko nahi rahne deti. Wahi chain se rah paya jo bhagwan ka aashray le liya aur bhagwan ka bhajan kiya. Nahi sab pareshaan hai. Sab pareshaan hai. Sabki khopdi pareshaan hai. Jo bhajan nahi karte sab pareshaan hai. Aap dekh lijiye koi ek vyakti batave main santusht hoon apne jeevan se. Main santosh ko prapt ho raha hoon. Wo wahi kah sakta hai jo bhagwan se juda hua hai.

anytha nahi. Isliye naam jap kijiye. Pavitra ahar, pavitra vichar, pavitra aacharan kijiye. Jaldabaji kahan tak karenge? Kitna karenge? Aur jo kuch karenge sab yahi rah jaega. Isliye anand manaie. Masti se jeejie. Manushya jeevan masti aur anand ke liye hai. Aur ham log masti aur anand sharab vybhchar gande acharno mein le jaate hain. Nahi jitendrita pavitra bhagwan ka chintan ismen anand aur masti hoti hai. Jahan masti ki baat ai to sharab aur gande acharno ki taraf log bhag jaate hain ki masti nahi udhar masti nahi.

udhar to patan hai nash hai. Masti to sacchidanand bhagwan ki taraf hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi