॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

santo ki pehchan karna saral nahi hai! Janie unki vibhinn kotiyan.

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

brahmaleen mahapurushon ko pahchana nahi ja sakta. Bada mushkil hai. Ek bar ek train mein ek sant bhagwan aise baithe the. Ab unke santo se hote hain bhagat log hote hain. Har shishya chahta mere guru ji achchhi vastu pahne. Mere guru ji achchhi gaadi mein chale. Mere guru ji jab mere paas itna to mere guru ji hain. To wo bhav rahta hai na. To usne sone ki chain ki ghadi aur sab vyvastha atchi sab to do char baithe the naye log. To unhone kaha Baba ji ek baat poohe bura to nahi manoge? Bole nahi bole ham mein aur tum mein antar kya raha?

hamari ghadi bhi itni mahangi nahi jitni tumhari ghadi hai tumhari atchi hai tumhara sab. Ye ham mein tum mein antar kya raha? Kaha beta kaun sa station aa raha hai? Bole amuk bole chai pina hai. Gaye chai pine. Bole ek chai aur banao aur pure jitne rupaye mile the sab chai wale ke samne rakh diye. Itne mein gaadi ne haran diya aur ghadi aur sab wahi khol ke rakh diye the. Unhone kaha Baba ji ab to ham chai nahi piyenge kyonki gaadi bole ab ham to chai piyenge idhar jaenge. Bole wo sab bole kisi ne diya tha koi utha lega.

bole Baba ji ham to aise bole ham mein tum mein yahi antar hai. Tum chhod nahi sakte aur ham ek minute mein chhod sakte hain. To santo ki bahari kriyon se ham nahi jaan sakte. Ab ye ki sant bhi to manushya sharir dhari hai na to kuch na kuch cheshta alag-alag hoti. Wo purv mein kitna bhajan kiye hain. Yahan bina bhajan ke kuch nahi milta hai. To hamko pranam. Ek rajarshi hai, ek brahmarshi hai, ek hai bilkul akinchan phate purane kapde pahne hue bhikh maang ke khana, raat din bhagwan mein bhajan mein dube rahna.

to santo ki kai kotiyan hain. Aur ek hai avdhut koti ke jinko koi parvah nahi. Samaj ki koi parvah nahi. Shastr mariyada se upar uthe hue jab jo manaya jaisi masti unki ab unko dekhoge to ya to pagal kahoge aur ya to dharm virudh kahoge. To hamko chahiye ki ham apni sthiti ko badhave. Dekho parvat mein mastak marne se parvat ka kuch nahi bigdta. Apna hi khopdi foot jati hai. Yah sant ik bhagwan ke jan hai. Accha teen gunon ka khel chal raha hai. Satogun, rajogun, tamogun. Ab koi satvic pravriti ka hai to aapko accha lagega.

koi rajsik pravriti ka hai, koi tamogun pravriti ka hai. Lekin sab bhagwan ke jan hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi