॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ab tak 150 se adhik purushan se sambandh bana chuka hoon ab bahut dukhi hoon

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

aap kah rahe hain ki inka 150 se vaidik purush se purush sambandh ho gaya. Ye aapki koi upaj nahi hai. Ye aapki koi manapsand baat nahi hai. Aapke dimaag mein purv praarabdh vasata ye sanskar hai. To is sanskar ko jitne ke liye manushya sharir mila hai. Isi sanskar mein mit jane ke liye nahi mila hai. Agar aap jeette nahi hai. Kitna ganda swaroop aapka hoga. Chahe wo bahan ho, chahe bhai ho. Aap vichar karke dekho. Uske jeevan ka matlab kya rahega keval manoranjan aur ye aap mein hi nahi hai. Lakho bachchon mein hai.

agar aap purush sanyog na karen to stri se aapki asakti nahi hai to aap ek bhagwat prapt mahapurush ban sakte hain. Accha thoda vivek se socho aapne aisa kiya bhi. Kya mila aapko? Keval dar mila aur chinta mili. Aur koi sukh to mila nahi. To mujhe lagta hai yadi aap thoda bhagwan naam jap karen aur ise control karen. Kya hai bhai? Kaun sa sukh hai? Durgandh aur mal bhara hua hai. Wahin se tumhari rati hai. Haan, isko sudhara jae. Agar bache hain to adhyatma ki sharan mein, bhagwan ki sharan mein, sataarg mein nahi to bachne ka koi chans nahi

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi