॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bhagwan kis prakaar ke bhav ko sweekar karte hain?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

bihari ji ke jo daliya lagate hain na inse ratri mein phool mangte jakar ke to do-do phool de dete aur wahi jakar rote hue ki ham garib bhikshuk prabhu ham aapke liye kya saiya lagave to aise aise tod ke phool do char aur aise karke aur jab shri ji ko sahan karate to aisa hriday mein lagta sakshat shri ji sahan kar rahe kyonki ek danya bhav tha ek paisa paas nahi maang kar phool laye to jo bhav banta tha na ki mujh garib ki prabhu seva sweekar karo to bhav bhav agar aap char gulab ke phool liye aur char pankhudi aise dal diye aur bhavna ki ki Priya pritam ki maine saiya lagai to prabhu saiya ko sweekar karte hain.

garmi ka samay tha. Thakur ji ki seva karke shayan kara ke Jaymal ji gaye to upar chat par gaye bangle par apne raja the. To hawa aa rahi sheetalata unke man mein aaya yar thakur ji ko niche shayan kara ke ham upar se hawa le rahe hain. Ye to theek nahi. To thakur ji ke liye alag mahal banwaya. Aur upar jaisa apna bangla waise sab khidki se hawa aa rahi. Sab aise pura raj darbar ki tarah jali padi hui aur gadda laga hua shayan kaksh pura shital kaksh banwaya. Shital aur roz sham ke jakar ke Priya pritam ka shayan karate jo shri vigrah tha charan dabate aur shayan kara ke ate aur sidhi hata dete ki koi wahan pahunch na pave unki patni ne vichar kiya ye kya chakkar hai?

roz sidhi lagakar upar jaate alag mahal se pooch sakti nahi bhaywash. Unka kuch na kuch to gadbad hai. Jab wo so gaye to sidhi lagaya upar gaye to unhen murti nahi dikhayee di. Sakshat Priya pritam sote hue dikhayee diye.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi