॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

man ko Control karne ka Step By Step Process!

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

mujhe step bye step batayen ki jisse mera man shant ho jae. Step bye step chalna chahti ho to pehle bhojan sudharo. Aapka bhojan satvic hona chahiye aur dharm ke dwara kamae hue dhan se hona chahiye. Dusra aap apni nind sudharo. Nind mein chha ghante sone ko hone chahiye. 4:00 baje theek brahm muhurt mein uth jao. Agar aapko theek chalna hai, bhajan karna hai to ye sat aath aath baje tak jo 9 baje tak sote hain. Ye step bye step bhajan kar payenge. Unka jeevan hi vyarth hai aur jaban sudharo har samay naam jap karo maun ka aashray lo agar uttar dena hai to uchit shabdon ka uttar do vyarth ki varta na karo bhakti hoti hai pavitra indriyon ke dwara ab jo gandi baten dekhenge mobile mein gande aacharan karenge ganda bhojan payenge hotlon ka bhojan payenge manmani jage manmani soen manmani aacharan karen to adhyatma nahi ho sakta to isliye pehle sunna theek karo dekhna theek karo, bolna theek karo, sona theek karo, bhojan theek karo aur phir nau prakaar ki bhagwan ki bhakti ko apne hriday mein dharan karo.

bhagwan ka hi shravan, bhagwan ka hi kirtan, bhagwan ka hi smaran, bhagwan ka hi pujan, bhagwan hi hamare mitra hain. Bhagwan hi hamare Swami hain. Bhagwan ko atma samarpan, archan vandan isi se bhagwat prem prapt ho jaata hai. Ji

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi