॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kya adhyatma vigyan ke virudh hai?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

maharaj ji main ek vaigyanik hoon maharaj ji jab kabhi siddh santo ke kisi dave ke virudh koi vigyan apne praman deta hai to main pahli baat to itna samjho ki jo vigyan hai wo panch bhautik sharir tak simit hai iske age nahi iski gati aaj tak koi mashin bani jo man ka ultrasound kar sake man ka exra kar sake buddhi ka kar sake chitt ka kar sake jahan vigyan samapt hota hai wahan se adhyatma shuru hota hai to agar aap apni baudhik star se kisi ka parikshan karna chaenge jo adhyatma mein sthit to nahi kar sakte.

sacha sadhu koi dava hi nahi karta. Nautanki natak karne walon ke davon ko ham sadhu ke dave nahi kahte. Main aisa kar sakta hoon. Wo ahankaari hai. Sadhu ahankaari nahi hota. Sadhu gyani hota hai. Aur dusri baat jab bade-bade prarabdhon ko sant apne bhogte hain to tumhare praarabdh ko nasht karne ke upay bataenge ki Ram ka naam jap karo. Dharm se chalo. Paap karm mat karo. Aiseise chalo. Aise ki main tumhen bhasm de dunga. Main tumhen jantur de dunga. Main tumhen kalava bandh dunga ya main aisa kar sakta aisa nahi.

hamari donon kidney phayl hai. Ham jantu thodi bandhwate hain. Dialysis karate hain. Ham rakh thodi khate hain. Tablet khate hain. Bhagwan ne vaigyanik banae hain. Vaigyanikon ne yantr banaya hai. Ausdhiya banai hai. Hamen doctor ki sharan jana chahiye. Kyonki is panch bhautik sharir ke rogon ka nidan doctor se hai. Na ki chu se jantu mantr se pani aur rakh dene se. Aise aise nahi hota.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi