॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

sharab pikar kya kho rahe ho, kabhi socha hai?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

jaise aap sharab pite hain to ye adte aapka nash kar dengi. Aapko patit kar dengi. Aapke sharir ki hani, aapki buddhi ki hani, aapke dhan ki hani ek bhi labh kisi ko nahi. To sharab kyon piyo? Bole thoda sa gam mitane ke liye to bhagwan ka naam jap karo na. Bhagwan ke naam ka kirtan karo na, bhagwan ki katha suno na, satsang suno na. Usse tumhara buddhi shuddh hogi aur shok nasht ho jaega. Lekin log satmarg ka anusaran nahi karte. Waise bhi jo sharab pi rahe hain unke angon mein jakar ke unko prabhav hi dikahti hai.

lever hai, kidney hai, dil hai to ismen labh kya hai? Aur parinaam sharab pi ke phir aap parinaam dekho kahin nali mein para hai, kahin aise ladkhda raha hai. Ek aadmi ko sharab pi ke dekha ki us saikil ko ek chhoti si nali nahi par kar pa kara paya aur khud saikil se usi mein gir gaya. Ab itni to samarthyaheenta paida karti hai. Rupya kharch hota hai. Asamman milta hai. Sammaan ki hani hoti hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi