॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kaise logon se dosti tod deni chahiye?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

maharaj ji aapki vani sunkar maine apne sare bure aacharan chhod diye hain. Par maharaj ji jis sangati aur mitron ke saath hamesha rahi hoon ab unke aacharan mujhe vichlit se karne lag gaye hain. To maharaj ji aise mein mujhe kya karna chahiye? Mitra wahi hai jo kumargh se hatakr sumarga mein lagave. Yadi aap mitron se pyar karte hain. Wah aapse pyar karte hain to aapki baat aisi honi chahiye ki unki gandi adte hat jae aur wah achhche aacharan wale bane. Aap swayam achhche aacharan wale bane aur dusron ko achhche aacharan wale banain.

yadi wah achhche acharno ko sweekar nahi karte to mitrata tod deni chahiye. Nahi apne achhche aacharan chale jaenge. Kusang se kiski buddhi nasht nahi ho jati. Arthat sabki ho sakti hai. Kitne aise jan hai sir aap chhod diye satsang sun ke. Par mitron ko nahi chhod paye. Ab mitron ne kaha yar hamari tumhari dosti ki kasam hai. Phir shuru ho gaya galat aacharan. Aisa vihaar rakhna padega. Agar aap aisa vihaar nahi rakenge to ek na ek din aap bhi bhrasht ho jaenge. Phir gir jaenge. Kyonki man hai wo ek na ek din jiske sang rah jaata hai uska rang chadh jaata

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi