॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bachchha rone lage, koi pukare.. Kya us samay puja chhodni chahiye?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

jaise ham puja path aarti ya mala jap karte hain to usi dauran beech mein agar koi badha kisi ki awaz dena darwaze par kisi ka ana bachchhe ka rona aae to ham nirantar puja karte rahna chahiye beech mein puja rok kar nahi apne se pujya jan ane par puja rok deni chahiye aise jan sadharan ki baat to alag hai jaise apne pujya vayovriddh koi sant atithi koi apne pujya jan aa rahe hain to phir bhagwan ko pranam karke puja rok kar unka aadar karen unko baitha len unko jalpan ki vyvastha karen. Phir unse prarthna karen ki ham puja kar rahe the.

yadi aapki agyaa ho to phir puja puri kar le. Ghar mein bachchha rone lag jae usi samay ham akele hain aur koi awaz de de kisi chij ke liye hamse pooch le prashn kar le. Haan to uttar de dena chahiye aur puja chhodkar bachchhe ko sambhalna chahiye. Bachchhe mein bhagwan hai. Wo asantusht ho rahe hain. Yahan to murti mein bhagwan hai. Wo to chaitanya bhagwan hai. To chaitanya bhagwan ko pehle doodh pilae, dular karen aur phir apne bhagwan ki akar puja karen. Sahi pocho na jab ye bhawnaen banne lagti hai na to sab mein hamare bhagwan hai.

us samay koi pooch raha hai tumse to bhagwan hi pooch rahe hain. Radha aur uttar de diya phir Radha. Phir apni seva bhakt ka swabhav bada saral hota hai. Bhakt mandan hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi