॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kya achhche-bure karmon ka phal turant milta hai?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

kya pichle achhche karm vartman mein kuch hamen accha deke jaate hain haan ya vartman mein kyon ho accha karm vartman ka accha karm tatkaal to shanti dega lekin parinaam age dega tatkaal phal nahi milta hai nahi to achhche karm karne wale dukhi dekhe jaate hain. Bure karm karne wale kahin-kahin sukhi dekhe jaate hain. To vartman mein wah bura kar raha hai to uska parinaam bhavishya bura hoga. Vartman mein bhala kar raha hai to uska parinaam bhavishya accha hoga. Wo ho sakta hai agle janm mile. Lekin abhi vartman mein jo hamen bhogne ko milega wo purv karm ka milega.

ham bura karen ya bhala karen uska koi parinaam abhi nahi milega. Ab uska parinaam milega. Accha karenge to abhi hriday mein sheetalata hogi. Bura karenge to hriday hamara jalenga. Lekin karm ka parinaam age prapt hoga. Hamara sharir jab racha gaya to do karmon se racha gaya paap aur punya. To pure jeevan bhar us rachna ka bhog hamen bhogna padega. Aapke aaj ke karne se us par koi fark nahi padne wala. Haan, ek fark par jaega bhajan se. Yadi aap bhajan karoge, bhagwan ka naam jap karoge, to aapke ashubh nasht ho jaenge, paap nasht ho jaenge.

praarabdh ko sahne ki samarth milegi aur aap age nikal jaenge.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi