॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bhagwan ne dukh diya hai to sukh bhi dega - vishwas rakho!

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

ki jaise din aaya hai to ratri aayegi pakka. Aise sukh aaya hai to dukh aayega. Yah sansaar mein hamara janm hua hai to yahan sukhdukh se sangharsh jhelna padega. Bhagwan ka avatar hua tab sukhdukh jhelna para. Apne to manushya hain. Socho jinka subah rajya abhishek hone wala hai. Chakravarti samrat pad pe samay ke 14 varsh ka vanvas de diya gaya. To yah bhagwan ne avatar lekar ke hamko dikhaya ki jab ham bhagwan hokar ke barabar sukhmay jeevan vyatit nahi kar sake to tum insaan hokar kaise vyatit kar sakte ho. Is mrityu lok mein dukh sukh ka sanyog bana hi rahega.

aaj 10 din sukh hai to 11va din thoda dukh aa jaega. 11va din dukh hai to phir 10 din baad sukh aa jaega. Aisa kram chalta hai. Isliye hamen dhairya purvak rahna chahiye. Apne isht par kabhi aviswas nahi karna chahiye.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi