॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

mujhe sab pehle se pata tha phir bhi maa-papa ko kho diya!

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

koi bhi ghatna ghatni ho inko swapna mein ya inko ehsas ho jaata hai to maharaj ji bat jab inke mata-pita ki pehle inko pata lag gaya tha bacha nahi pai unko to bahut udasin ho gayi tum kya bacha sakte ho brahma bhi nahi bacha sakte agar ayu puri ho gayi to brahma bhi nahi bacha sakte tum to ek manushya ho thoda pavitra hriday hota hai to bhagvatik sanket hone lagte hain lekin bhagwan thodi ban jaoge ki srishti kar lo ya srishti ko pralya mein pahuncha do ya srishti ka palan kar lo wo to keval bhagwan ke hath mein sanket ana swapnana thoda pavitra hriday ka sanket hota hai aur koi khas baat nahi hai.

kiski takat hai ki kisi ki mrityu ko bacha sake. Suno bharat bhavi prabal bilak kaho muni hani labh jeevan maran jas apjas vidhha ye bhagwan ke hath mein tumhare hath mein thodi ki kisi ki tum raksha kar lo. Haan tumhen suyas prapt hona hai to kisi ki raksha ka sanyog ban sakta hai ki aap lagega ki aapne raksha kar li. Lekin unki mrityu nahi thi. Aapka sanyog bankar ke unki raksha ka natak hona tha isliye raksha ho gayi. Nahi kisi ki takat nahi hai ki jo vidhna ne likh diya chathi rav ke ank rai ghate na til badhe rahhu re jeev nisang wo hoke rahega jo hona hai kisi ko bachhae nahi aap vichar karo dashrath ji ki mrityu nischit thi na to bhagwan bachhae kya bhagwan shri Ram hai wo chahte to ajar amar kar dete apne pita ko lekin nahi vidhan ke anusaar chalte haan Ram haan Ram kahte hue maharaj dashrath ji ne apne prannon ka tyag to tum apne pita ko kaise bacha sakte the wo jo jis samay jana hai us samay jana hi hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi