॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

padhai mein man nahi lagta, mobile aur khel mein kyon?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

maharaj ji mera prashn ye hai ki mujhe gyaat hai mujhe padhai samay par karni chahiye aur apne karm karna chahiye parantu mujhe in kamon mein man nahi lagta iske bajay mujhe phone dekhna khelnaa zyada pasand hai. Ham apni jankari ka prayog kyon nahi kar pate kyonki ham nirbhal hai jaise ham jante hain ye nahi karna chahiye paap karm hai. Ham usko nahi rok pate kyonki hamare andar adhyatma bal nahi. Hamare andar bhagvatik bal nahi. Man ko bhagvatik bal se rok sakte hain. Sansarik bal se nahi. To galat acharno se rokna aur sahi aacharan karana iske liye hamen bhagvatik bal chahiye.

to naam jap kijiye aur yah jaise boyfriend girlfriend ye jo chal raha hai aaj ka natak isse bchie. Naye bachchhe ho kabhi aisi galti mat karna aur chupchap padhai mein apna man lagao aur mobile mein gandi baten mat dekhna. Ghar walon ki agyaa mein raho. Nahi aajkal bachchha bahut samay kharab hai. Wo mitrata ka natak karke tumhen phansaega aur phir gande aacharan karega. Bilkul nahi bacho. Abhi jab matlab bhagwan us yogya bankar byah kar de tab baat alag hai. Tab tak bachchon ko bahut savdhaan rahna chahiye. Yah sab gandi baten nahi karni chahiye.

boyfriend karna, nasha karna yah sab bahut hanikarak hai. Chhote-chhote bachchon mein gandi baten aati hai to bache rahna bachchha. Yah bahut badi gandi baten

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi