॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kya shiv mantr wala kurta pahnna theek hai? Maharaj ji ki chetavni !

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

aur pahli hamari prarthna hai ki yah jo vastr pahne ho ab yah vastr mat pahnna kyonki ismen mantr likha hua hai. Ye kalyugi log aisa shuru kar diye hain. Yah nishiddh hai. Jaise ismen jo mantr likha hua hai na yah vaidik mantr hai. Yah hriday mein likha hona chahiye. Kapde mein nahi. Aur ye bahar ucharan nahi kiya jaata. Yah guru se lekar andar hi andar japa jaata hai. Jo aaj log kirtan karte hain. Dwadshakshar mantr, panchakshari mantr yah amangalkari hai. Bhagwan ke naam ka kirtan mangalkari hai. Mantr upansu ya mansik japa jaata hai.

vachik bhi nahi. Ye kirtan ki kya baat hai? Par agyaan ki vridhi ho rahi. Kalyug ka prabhav badh raha hai to Gayatri mantr, shiv mantr, Vasudev mantr in sab ka kirtan kiya jaata hai. Yah buddhi bhrasht karne wala karya hai. Ye samjhte hain accha hota hai. Nahi maharaj ji hamare yahan ek mandir hai usmen 24 ghante mantr hota hai. Usse wo lage hote hain na wo wo ye sab nahi. Aur wo sabko bula ke pure ganv mein matlab sab jaate hain wahan karne ke liye. To ek ek ghante ke liye duty nahi nahi bilkul nahi karna chahiye.

bilkul mantr nahi karna chahiye. Yah sab amangalkari hai. Mangal nahi ho sakta. Yah amangalkari hai. Yah mangalkari nahi hai. Isko utar karke yamuna ji mein pravahit kar dena. Nahi le lena.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi