agar anhoni se bachna hai to ye karna hoga !
pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
kal tum aise dukho mein phas jaoge jahan se tumhen koi niklne wala nahi hoga. Ek pita badi mehnat karta hai. Karodon rupaye kamata hai. Apni beti ke liye sundar dulha dhundhta hai. Byah hota hai. Khub anand purvak sab ho gaye. Iske baad kuch dino mein dulha mar jaata hai. Beti phir ghar aa jati hai. Ab is samasya ka kya samadhan? Karodon rupaye kamae. Karodon laga diye. Sab mangal hua. Ab praarabdh bhog aisa palta ki wo phir ghar akar baith gayi. Ab ab uska kya upay? Ab uske upar pura bojha dimaag mein ashanti ab jeevan bhar ashanti yah isiliye kahte hain bhagwan ka naam jap karo aap sukhi raho aur apne parivaar ka mangal karo yadi bhagwan ki aradhna nahi karoge to sabse paap ban jaate hain aur wah paap parinaam mein dukh dete hain.
ham apni jankari ka sadupyog kar sake. Iske liye hamare andar naam bal chahiye. Radha Radha Krishna Krishna Ram Ram jo naam priy lage wo khub naam japna chahiye.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- kaun sach mein ganga mein nahaya? Bhagwan ne khola rahasya! — haridvar mein sab ganga ji naha rahe Parvati ji ne kaha prabhu kitne punya atma sab ganga naha rahe bole sab ganga nahi naha rahe pani mein dubki laga rahe koi birla ek ganga na snaan kare unka ab…
- shriji ki sharan mein hokar nishcint ho jao — bilkul nishcint raho. Shri ji ki sharan mein hokar Radha Radha agar hamare galat kadam ja rahe hain to Radha Radha Radha hamari bas nahi shri ji shri ji dekhna hamari bas nahi hai ham kahin bhi gir sakte…
- chandan ki tarah bano, kusang ka vish mat apnao! — agar tumhen satsang milta hai to kusang bhi apna prabhav dikhane ki koshish karega. Aapki nishtha, aapki bhavna itni surakshit honi chahiye ki kisi ka bhi kusang ka prabhav hamare man par na pare. Jo…
- ann ka aisa gahra prabhav ki sant se bhi ho gayi chori! — ek Paramhans ji jangal mein rahte the. Raja gaye. Bahut din piche pare. Nimantran diya chalo maharaj mahal mein gaye. Prasad paya. Ab wo raj vaibhav ka prasad jangal mein aae to unko gulahri pipri ye sab…
- jisse prem hota hai, uski har chiz pyari lagti hai — jab ham kisi ko apna mante hain to bar-bar uski charcha karne mein, bar-bar uski charcha sunne mein aur wah gali bhi pyari lagti hai jismen apna pyara rahta hai aur uske padosi bhi pyare lagte…
- bhagwan kab milte hain? Har sadhak ko janna chahiye | Shri Hit Premanand Govind Sharan Ji Maharaj — ek bar narad ji maharaj bhramn karte hue ja rahe the to kuch samip pe ek bat vriksh ke niche mahatma bhajan kar rahe the ek peepal ke niche bhajan kar rahe the to narad ji ko pranam karke bat vriksh wale…