॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bura karne walon ke saath kaisa vihaar karen?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

achchai to achchai hi rahni chahiye. Achchai mein burai ek bar ek kashi mein ganga ji mein bichhu bahti ja rahi to ek achchai karne wale ne uthaya bichhu ne dank mara waise phir uthaya phir mara to ek aadmi ne kaha pagal ho kya? Wo bar-bar mar raha hai dank aur aap utha rahe ho. Bole ye uska swabhav hai. Bichhu ka swabhav hai dank marna. Aur mera swabhav ise bachana. Main ise bachaunga aur bahar ek bar kar diya. To aise jaise galat swabhav ke log hain. Ab aap accha bartaav karenge to wah becharey karen kya?

unke paas samgri itni hai. Wo aapki achchai ka uttar burai se denge. Aapko chahiye apni achchai bachakar unki burai ko wapas kar den. Wo burai aap par havi na ho pave. Aap par prabhav na dal pave. Tabhi achchai rahegi. Aur yah tab ho sakta hai jab ham bhagwat bhav se karen. Inme bhagwan virajman hai. Ham inse badla nahi chaenge. Bhagwan hamko denge.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi