॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

maa-bap ka Affair janne ke baad bachchhe tut jaate hain.. Samadhan kya hai?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

ki mere mataji ka kisi se sambandh hai aur pitaji ka kisi aur se sambandh hai jiske karan aapas mein unki ladai hoti rahti hai. Mata-pita ke jab aacharan galat ho to ghar pe bachchon ke bahut asar parta hai. Badi samasyaen aise mata-pita se duri bana leni chahiye. Ab wo ghar mein hai to kya kiya ja sakta hai? Lekin apne ko surakshit rakhna chahiye. Zyada virodh karne par hinsa ke khel hone lagte hain. To mujhe lagta hai ki hinsa na karke apne jeevan ko bachana chahiye. Kah rahe isi karan maine do bar mata-pita par hath utha diya.

wahi to matlab hinsmtk pravriti na karen. Ab jab 50-50 varsh ke log gande acharno mein ja rahe hain to kitni buddhi bhrasht ho gayi hai. 22 varsh tak brahmcharya rahe aur udhar 50 varsh ke baad brahmcharya prarambh kar de. Beech mein grihasth ashram ka prayog karen to wo jeevan moksh ka adhikari ho jaata hai. Ab 22 varsh ke pehle hi bachchhe vybhchar mein utar gaye. Ab 50 varsh ke baad wale vybhchar mein to moksh aur paramatma prapti aur bhagwat bhajan yah to sab bahut dur ki baten ho gayi. To ham bachchon tumse prarthna karte hain kabhi hath mat uthana unhen marna nahi.

tum dur ho jao nokri pesha karo vyapar karo. Apne jeevan ko jio aur wo tumhare samjhane se samjhenge nahi. Jaise kahte hain na budha tota Ram Ram nahi bolta. To aise ye jo log hain yah log sudhrane wale nahi hai kyonki tumhare jaise bete ho gaye aur phir wah gande aacharan kar rahe hain. Wo sudhrane wale nahi hai. Ye sab narak jaenge. Isliye apne ko duri banake rakho aur bhajan karo.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi