ekantik vartalaap evam darshan #1031 · 13 sitambar 2025
shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan karte hain.
pura pravachan
Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha shri Radha vallabh lal ki jai samasth sant hari bhaktan ki jai shri Vrindavan dham ki jai Sadgurudev bhagwan ki jai itu Tiwari ji ghaziabad se Radhe Radhe maharaj Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji main aur mere pati karib do sal se aapko sunte aa rahe hain.
bhakti ki taraf ruchi bhi badi hai aur kafi sudhar bhi jeevan mein aaya hai. Maharaj ji jaise ki ham jante hain ki hamare swapna hamare jeevan mein jo kuch chal raha hota hai ya hamare man ki sthiti jaisi hoti hai. Usi ke aaspas ya usi se jude hote hain. To maharaj ji hamare man mein ye janne ki ichchha hai ki jab aap shayan karte hain to kya aapko bhi swapna ate hain? Aapko kya waise itna zyada shayan hi nahi hota ki swapna ke liye time ho. Swapna to tab ate hain jab nind se zyada aap shayan karen. To yahan to itni ragad hai matlab ab phir wahi ham baat rakh rahe hain.
ab hamen hai ki hamen marna hai to ham dat ke bhajan karen. Ab jab tak hamare andar behoshi nahi aati tab tak to bhajan chalta rahta hai. Aur jahan behoshi aae jahan nind khuli to chahe 1:00 baje ho chahe 2:00 baje ho. Uth ke baith gaye. Ab baithe ki zyada samarth nahi to tahalne lage. Naam jab bhagwan ka bhagwan ka sumiran aise to ek to time hi nahi swapna ke liye swapna jab aata hai jab nind mein man nahi jaata nind puri ho gayi hai aur nind mein man nahi jaata tab wo swapna ki rachna karta hai aur gadh nidra ke liye thoda time dijiye aap to gadh nidra mein doob jaega iske baad wo swapna tabhi phenkata hai jab aap adhik samay tak lete rahe man lo aapki panch ghanta nind aap chha ghanta lete hain to aap phir wo ek ghanta swapna mein kateega idhar udhar udhar ka aur agar swapna kabhi koi aae bhi to
santo ke swapna dekhte hain apne ko vairagi rup mein dekh ke kahin santo ke beech mein baithe hain kahin katha bhagwat ho rahi aur kahin prabhu ki kuch mandir hai kuch leela hai kuch tirth sthan hai ab aisa to nahi aata ki hamen bua ka swapna aaya kyonki hai hi laila ab hamare koi hai hi laila accha aapka swapna kya aayega kyonki ham pahli bar dekha to swapna kya aayega aur dekha wah bhi dusri drishti se dekha bhagwat drishti se ki mere bhagwan to yah koi chavi nahi aati ye koi chavi aati nahi accha koi apna hai nahi to man jaega to kahan jaega swapna laaega to kya laaega swapna mein hamare kya laaega na koi rishta na koi nata na kisi se sambandh na koi matlab to wahi bhagwan aur bhagwan ke bhakt yahi do swapna mein ate hain.
maharaj ji pad yatra to nahi aati maharaj ji bahut sare log jai ho jai ho kar rahe hain. Na ye sab hai. Inka pravesh nahi hai. Ham jaise aise chalte hain na to ham dekhte hue bhi nahi dekhte. Ham aise chalte sabse dekhte hain lekin kisi ko nahi dekhte. Ham netr hamare netr rupi camera mein bilkul ek bhi photo nahi hota. Ji koi ro raha hai koi matlab aise bhav dikha raha hai to aap koi ham bhi to bhav dikhate hain. Kumar ji aap to pure aise aise ho jaate hain. Haan sabko bhagwan ka swaroop mankar sab mere bhagwan aae hain.
anya rupon mein nahi. Yah sab mere bhagwan baithe hain to isiliye wahi aaenge. Agar ham inhe stri purush samjh kar dekhen to stri purush aaenge aur bhagwan samjh kar dekhen to bhagwan mere bhagwan is rup mein aae hain aur prashn karke bhagwat charcha karva rahe hain. Bas ye ham drishti rakhte hain. Gaurav jhaa ji bihar se Radhe-Radhe maharaj Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji aap kah rahe hain ki aap bachchon ko padhate hain maharaj ji maharaj ji ye kah rahe hain ki jo fees unki rakhi hoti hai hamen pata hai ki samne wale bachchhe ke maa-bap kya galat karya bhi karke hamen fees de sakte hain.
to maharaj ji wah jo galat hamari jo man lijiye maharaj ji ₹1000 fees rakhi hai to wah ₹1000 agar wah hamen hamari padhai ke uddeshya se de raha hai bat wo piche se galat usse aapke upar koi prabhav nahi padega aap koi dan thodi le rahe ho aap to mehnat kar rahe ho na to aapki mehnat ka paisa aa raha hai wo beimani se de raha hai lekin aapki mehnat ka aa raha hai isliye aap par uska koi prabhav nahi padega khub prabhav nahi padega hamko pata bhi hai maharaj ji ki wo galat tarike se haan to bhi aap mehnat kar rahe ho na bachchhe ke prati to us utna hi le rahe ho na aap koi ghas thodi le rahe ho.
aap koi dan thodi le rahe ho. Agar aap ghus lete hote ki beimani ka paisa aur ghus lekar ke nirdosh ko jo hai dand dila diya aur doshi ko mukt kara diya to aapki durgati ho jati. Aap mehnat karke padha rahe ho. Ab uska pita kya karke paisa deta hai wo bhogega. Aap to apni mehnat ka paisa le rahe ho. Usmen koi paresh man lo koi lebar karke wah fawda chalwave aur ₹500 de to bhale wo beimani karke 500 diya usne to khun pasina karke mehnat kar liya hai na to aap apne mind se bachchon ki seva karte hain ghanton padhate hain aapko jo000 ₹00 milta hai usmen koi dosh nahi hai pawan nanda ji Radhe Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji pryasrat swadhyay rat manan chintan rat rahne par bhi sharir hoon yah bhram nahi jaata na hi swayam swaroop ka anubhav hota hai.
kora sikha hua gyan hai. Maharaj ji aise mein maharaj ji kaise anubhav aae? Isiliye sva jane jeh dehu janai aur janat tumhen tumhen ho jai. Bhagwan jise atma swaroop ka gyan pradan karte hain usi ko bodh hota hai. Vedant padh lena shastron ka pravachan kar lena saral hai. Lekin atma swaroop ka bodh hona kathin hai. Isiliye bhagwan ka bhajan karo. Siddh hone par bhi sanakaad nirantar hari sharanam hari sharanam hari sharanam japte rahte hain. To bhagwan ka naam jap karo. Usse jo gyan hoga wah anubhav karaega. Anubhav gam mein bhaje ja santa jo anubhav jinko ho gaya hai wah bhi bhagwan ka bhajan karte hain aur jinko anubhav karna hai unko bhagwan ka bhajan karna hi padega bina bhagwan ke bhajan ke brahm bodh nahi ho sakta aap vedant padh lo lekin bina bhajan ke bodh nahi hoga bhagwan hi bodh karate hain soi jane je dehu janai janat tumhen tumhen ho jai wahi janta hai jise aap jana dete ho aur jo aap ko jaan jaata hai wo apmay ho jaata hai.
brahmvid brahm bhavti jo brahm ko jaan leta hai wo brahm swaroop ho jaata hai. To keval padhne se ya sunne se na atma pravchne na labhya na meya na bahuten bahut buddhiman ho bahut pravachan kar leta ho bahut pravachan sun leta ho isse atma bodh nahi hota dat ke bhajan karo atma bodh ho jaega sharir rag nasht ho jaega bar mathe ghat hoe varu siktat tel binu hari bhajan na bhatri ya siddhant pel balu pelne se chahe bhale tel ho jae pani mathne se bhale ghee nikal ave asamabhav lekin aisa bhale ho jae par bina bhajan ke koi is agyaan rupi sansaar sagar se mukt nahi ho sakta isliye bhajan aniwarya hai.
jitna bhajan karoge utne hi bhagwat tatv ka bodh hoga. Bhagwat tatv ka bodh bina bhajan ke nahi hota hai. Isiliye dekho bodh prapt jitne sant mahapurush hain sab bhagwan ke bhajan mein lage hue hain. Nahi bodh prapti ke baad koi karya to nahi rah jaata par phir bhi wo bhagwan ki leela katha sunte hain. Bhagwan ki leela katha kahte hain. Bhagwan ke chintan mein rahte hain. Tabhi wah vastvik brahm bodh mana jaata hai. Dekho Sukhdev ji maharaj har samay 18,000 shlok ka manan karte rahte hain. Bhagwan shankar ji koi na koi katha varta chalti rahti hai.
bhagwan ke chintan mein rahte hain. Sanak sanandan sanatan Sanat kumar charon brahm rishi mein ek pravakta ban jaata hai. Teen shrota ban jaate hain. Bhagwat charcha chalti rahti hai. To bhagwan ki leela katha sunna bhagwan ka naam jap karna isi se brahm bodh hota hai. Bina bhagwan ke charnon ka aashray liye koi aham brahmasam ka anubhav nahi kar sakta. Ji doctor swatika pu se shri Harivansh shri Harivansh Gurudev bhagwan maharaj ji main aapki sharanagat hoon. Maine satsang mein suna hai ki guru ke charnon mein purn samarpan kar dena hota hai.
purn samarpan ka sateek tarika kya hai? Purn samarpan hua to hai iski sabse badi iski kasauti hai ki hamara man bhagwan ko nahi bhulega. Har samay bhagwat smriti chalegi. Kyonki jahan hamara man samarpit hota hai usi ka chintan hota hai. Agar hamara man sharir mein samarpit hai to chintan sharir ka hoga. Bhogon mein hai to bhogon ka hoga. Sharir sambandhi mein hai to sharir sambandhi ka hoga. Bhagwan mein hai to bhagwan ka hoga. Guru aur bhagwan do nahi hai. Ek hi baat hai. Guru ka chintan, bhagwan ka chintan, bhagwan ka chintan, guru ka chintan ek hi hai.
hamara yadi akhand aur anannya chintan ho raha hai to hamara samarpan hai. Aur agar hamara chintan nahi ho raha hai to ye sab bahari baton ko samarpan nahi mana jaata. Bahari baton ka samarpan nahi. Samarpan chintan ka jaise Meera ji kah rahe mere to Giridhar gopal dusro na koi. Jake sir mor mukut mero pati soi ekmatra bhagwan se Prita yah samarpan hai. Guru kya karate hain? Gurudev apne atma swaroop bhagwan mein prem karate hain. Unka naam dete hain. Unka mantr dete hain. Unki seva dete hain. Unki upasna dete hain.
upasna ke dwara vasna ka nash karke bhagwan mein prem karo. Yahi guru ka samarpan hai. Guru ke samarpan ka matlab anya kuch na liya jae. Yahi samarpan ka phal hai ki wo paramatma sakshatkar ke yogya ho jae. Wo nirantar bhajan paraayan rahe. Ayush Gupta ji Radhehe guru ji Radhe-dhe maharaj ji maharaj ji tulsidas ji maharaj ji kahte hain ki sant hriday darpan samana nahi darpan navneet samana kaha kabin par kahe na jana nij paritap drav navneeta par dukh drav susant puneeta goswami ji kah rahe santo ka hriday kaisa bole makhan ke saman bole kaha to par kavi ne kahna nahi aaya kyonki makhan mein dosh hai wo jab nij tap lagega usmen mein jab swayam aanch lagegi to pighlega lekin sant dusre ko dukhi dekhkar ke dravit ho jaate hain.
yahi sant ki pehchan par dukh drav susant puneeta wo param pavitra sant hai jo dusre ke dukh se dukhi hokar uske dukh ke nivaran ka upay karen. Aisa praytn karen jisse kisi ko dukh na mile. Isiliye santo ki jayghosh hai. Sarve bhavant sukhina sarve sant niramya sarve bhadran pashchantu ma kaschit dukh bhag bhavet sab sukhi rahe sab nirog rahe kinchin matra kisi ko koi dukh na ho ye santo ka hriday hota hai to kya kahna chahte ho ye kah rahe hain ki unka jo swabhav hota hai wo kya unke swabhav ke antargat hi aa jaata hai ya samaj aur sadhako ke adarsh dikhane ke liye dikhane ke liye nahi hota swabhav mein hota hai dikhava kitni der chalega dikhava kitni der chalega?
dikhava ka matlab hai ki apne aaspas ke logon ko nahi apne aaspas ke logon ko to bhagwan ka swaroop samjhta hai. Tabhi sant hai wo sadhak thodi samjhta hai. Wo jeev thodi dekhta hai. Sant to wahi jo sab mein bhagwan ko dekhta hai. To uska swabhav hai. Tum adarsh man lo usko. Lekin wo aapko adarsh nahi dikha raha. Wo aapko apna bhagwan man raha hai andar se. Aur apne jo uske swabhavic aacharan hai un acharno ka bartaav kar raha hai. Wo dikhava nahi hota usmen ki samaj ko dikhane ke liye wo aacharan dharan kiye hue ho.
uska swabhav hota hai. Aisa wo swabhavic bhagvatik sadgunan se yukt ho jaata hai. Savita ji karnatak se Radhe-Radhe maharaj ji. Are ji adhyatmik sadhna kya hai? Sadhna shuru karne ke liye guru ki avshyakta hai kya? Yahan Vrindavan mein Ranganath ji ke darshan kiye ho? Nahi abhi ai hoon. Ab agar aapko karna ho to kya karoge? Ranganath ji ke darshan karne jana ho to aap kya karoge? Guide ka chayan karoge ki nahi? Kisi guide ko kisi guide ko chayan karenge. To guru wo guide hai jo hamen paramatma swaroop tak pahunchata hai.
to agar hamen adhyatma kahte hain atma swaroop. Atma arthat bhagwan. Bhagwan ki prapti ke marg mein chalna hai to pahla kadam hai sant mahapurushon ka sang karna. Pahla kadam satsang karen. Adhik se adhik satsang karen. Dusra kadam bhagwan ki leela kathaon mein priti ho. Phir tisra kadam hai sadguru ka varnan ho. Aisa hota bhi hai jab ham khub satsang sunte hain, bhagwat katha sunte hain to hamare andar sadguru ki pyas aa jati hai ki hamen koi aise sant bhagwan mile jo bhagwan se mila de to pratham bhagat santan kar saan aur dusri rati mam katha prasanga aur guru pad pankaj seva tisri bhaktaman bina guru charnon ki seva kiye bina guru ka aashray liye bina guru mantr jape bhagwat marg pusht hi nahi hota bina guru ke bhagwan ki prapti chahe shiv winch sam hoi guru bin bhav nidhi tare na koi sansaar mein jab hamen kahin jana hai to hamen puchna parta hai bhaiya amuk gali kahan hai unka makan kahan hai to ham bhagwan ka nivas sthan sarv antahkaran mein virajman unko ham kaise jananenge jab tak guru kripa nahi hogi to guru ka varan karna to atyant avashyak hai hi par pehle khub naam jap karo satsang karo suno aur katha suno bhagwan ki jab bhagwat prapti ki lalsa lag jae tab guru banana chahiye aise dekha dekhi guru nahi banana chahiye.
guru ki avshyakta hai bhagwat prapti ke liye. Dharm mein jeevan vyatit karne ke liye. Jankeenath das ji ji Radhe-Radhe maharaj ji. Maharaj ji mera prashn hai ki aajkal samannya jan evam sadhak jan donon hi intarnet ke prabhav se granth padhte hi nahi hai ya phir na ke barabar padhte hain. Kripya koi upay batayen jisse sadhak jan niyamit swadhyay kar sake. Haan niyamit swadhyay karne se antahkaran pavitra hota hai. Vedo nitya madhtam shastron ka nitya swadhyay karna chahiye. Par ab itni bahirmukh vritti ho gayi hai ki shastron mein pakar pana kathin ho gaya hai.
mobile se itna rajogun chadh gaya hai ki mobile se chhuti nahi milti to kahan gita padhe? Ham kahan bhagwat padhe? Ham kahan swadhyay karen. Ab dekho koi birla aisa hoga jiske paas mobile na ho. Chahe jis bhash mein ho, chahe jis uddeshya mein ho aur hamari mana sthiti rajogun mein zyada rahti hai aur bhogon ki taraf fisalne mein zyada rahti hai. To jab ham mobile mein rahenge to serial dekhne ka man zyada karega. Dharmik nahi. Jab ham mobile mein rahenge to gandi baten bhi dekh sakte hain. Gem bhi khel sakte hain.
sansarik baten bhi dekh sakte hain. Jo hamare bhajan mein bahut badhak hai. Hamen lagta hai sadhak ko jab tak achchhi sthiti na prapt ho jae tab tak vihaar mein nahi utrna chahiye. Ye mobile logon se milnajulna batchit karna ye tab tak nahi karna chahiye jab tak bhagwat prapti na ho jae. Nahi to bahut phislan hai. Aap nahi phis to aapko phisla diya jaega. Maya badi vichitra hai. Phasa legi aapko. To shastr swadhyay ekant sevan nirantar bhajan pavitra ahar brahmcharya yahi virakti ke liye jeevan hai. Anandmay jeevan vyatit karne ke liye asangoham purush main asang hoon.
kisi se koi sang nahi sang to bhagwat premi mahapurushon ka nahi to asang jab tak sangam tajet mithun naam mumukshu sarwatmana bahi indran ekas charan lit man ta se yujeet ta sadhu chet prasanga sobhri ji maharaj kah rahe hain sangam tajet mithun naam mumukshu mumukshu mane bhagwat marg mein jo chalne wale bhagwan ki prapti karne wale moksh prapti ki ichchha wale hain. Unko chahiye ki sang tyag dena chahiye. Jo Jnendra aur rasendriy ke bhogon mein magan hai aise purushan ka sang tyag dena chahiye. To ek charan akela vichran karen.
chitt ko nirantar paramatma mein lagae. Indriyon ko bahirmukh na hone de. Sarwatmana naje bahir indran indriyon ko ekdam chhut na de de. Antarmukh rahe. Nirantar bhajan paraayan rahe asang rahe agar sang karen to mahatmaon ka sang karen jo bhagwat premi mahatma hai nahi to asang rahe shastron ka aashray le le guru vachno ka aashray le le aur akele apni anubhutiyon mein chalta rahe agar sang karega to vihaar ho jaega phas jaega kahin na kahin phas jaega asangta aur bhagwat smaran bahut badi siddhi hai jo sadhak vihaar prapanch mein nahi fansa asang rahta hai aur bhajan karta rahta hai.
wo swayam apna mangal kar leta hai. Aur mam bhakti yukt bhavnam punat wo loko ko pavan kar sakta hai. Lekin jab swayam mein pavitra nahi to phir vichitra baat hai ki ham samaj ka hit karna isse bahut hani ho jati hai. Kyonki indriyan hamari abhi vishay se rahit hui nahi aur sansaar mein jahan gaye to aise drishya aisa akarshan wo sadhu phesal jaata hai aur jahan phesal gaya to bas phir utna hi rah jaata jo bhagwat prapt ho chuke hain indriy vijay hai jinme man mein kisi tarah ka vikar nahi wo karen nahi to shastr swadhyay satsang ekant sevan nirantar bhajan paraayan jab indriy vijay ho jae man vijay ho jae tab bhajan mein chale nahi to 50on varsh bhajan karne par bhi indriyan niche gira deti hain.
bahut vichitra gati inki hai. Bahut vichitra gati isliye khub bhajan paraayan rahe jab tak bhagwat sakshatkar na ho jae. Jab tak nirvishay na ho jae hriday tab tak kisi se sampark na karen. Ji akash ji Bhopal se Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji jab Janmastmi ramnavmi ya koi bhi tyohar aata hai to us samay mera man us bhagwan ki taraf zyada jhukta hai aur pehle ke bhagwan ke prati bhav kam ho jaata hai kisi bhi ek bhagwan ke naam ke prati bhav sthir ho prambhik prambhik sadhna mein yahi hota hai prambhik aisa hi hota hai lekin jab sadhna rang lati hai to phir ek mein aa jati hai jab pyar pyar hota hai to phir ek mein ho jaata hai.
pyar anek mein nahi hota. Jab tak anek mein rahta hai tab tak sadhna rang nahi lati hai. Jaise ham bhi shuru kiye the jab hanuman chalisa shiv chalisa Ram raksha stotr wah sab aise shuru hota hai aur phir akar ke jab bhakti ka rang aata hai to phir ek mein ek bharoso ek bal ek as vishwas ek Ram Ghanshyam he chatak tulsidas chatak ki tarah bhagwan se prem karne lagta hai aisa karna chahiye jaisa aap kar rahe ho aisa karna chahiye yahi sab kartekarte ham age badhte hain jab age ham pahunch jaate hain. Dekho kram hai. Ab agar kahra matra nahi yad hai to phd tak kaise pahunchoge?
to yah phd hai. Prem ka matlab phd ekdam. Ab usmen doob raha hai. Ab wahan tak pahunchne ke liye jo ye rasta hai wo tay karna hoga. Ab chhalang to laga nahi sakte. Ye paramarth hai. Ismen kram bye kram chala jaata hai. To aap jaise chal rahe ho aise paap na karna. Ganda bhojan mat karna. Gande logon ka sang mat karna. To yahi bhakti dhire-dhire rang lane lagegi. Theek hai na? Maharaj ji aapke ashirwad se Radha naam pe bahut vishwas hua hai. Main chahta hoon ki bas ye hamesha aisa hi haan naam japo Radha Radha Radha Radha Radha japte raho Radha Rahul ji Radhe Radhe maharaj Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji ham sab aapke mukharvind se aise hi amritmay vachan sunte rahte hain aur adhyatma ki gahrui ko jaan pate hain.
maharaj ji aapki kripa se naam jap mein ruchi badi hai. Maharaj ji mera prashn hai ki bahut bar aapne aur shastron mein kaha hai ki tum man nahi ho, tum sharir nahi ho. Sab mein ek hi param tatv virajman hai. To mukt kaun hai maharaj ji? Mukt kaun hota hai? Aur sab mein wah ek tatv ko dekhne ki drishti kaise prapt jab sadhna kiya jaata hai to sharir se to hota hai. Man se hota hai. Lekin aap jo hai wah akriy hai. Ab iske gyan ke liye jab ham guru ka varnan karke aur khub bhajan karte hain aur pavitra ahar aur sanyam se chalte hain.
koi paap aacharan nahi karte to yah gyan swayam prakt hota hai. Yah samjhane se samjh mein nahi aayega. Anubhav gamya bhaje santa jaise aap ho to aap sharir nahi ho pakka hai na kyonki sharir ke bhitar koi hai jo nikal jaata hai. Kaha jaata hai wo nikal gaya. Jo tha wo nikal gaya. Wo jo tha jo nikla wahi paramatma hai aur wahi aap ho. Sharir ko lekar aap apne ko manushya man rahe hain. Jo power hai aapke andar jaise pankha lekin power kya hai? Bijli hydrogen power kya hai? AC power kya hai? Sab mein ek hi hai na? Aise stri, purush, murkh, vidvan, jad, chaitan ye bahari dhanchon ke naam hai.
lekin inme bijli kya hai? Paramatma wahi aap hai. Tat twam as ved kahta hai. Tat mane jis paramatma ko tum alag samjh rahe ho. Twam mane tum as mane hai wo tum hi ho. Ab apne ko ham manushya man rahe hain. Ab hamen sadhna karni padegi inke tyag ki aur jahan inka tyag hua andar se sharir ka rag ka to aap khud dekhenge aap brahm swaroop ho jaenge. Aap bhagwat swaroop ho jaenge. Dekho apne yahan santo ko nahi kaha jaata. Are yar ye to sakshat bhagwan hai. Nahi kaha jaata. Kyon? Kyonki wo bhagwan mein leen ho gaye.
bhagwan mein tanmay ho gaye. To apne log bhi kahne lagte hain wo to bhagwan hai. Wo to bhagwan hai. Ham mante hain ki hamare yahan guru bhagwan hai. Hamare yahan sant bhagwan hai. Kyonki wo bhagwan mein tanmay ho gaye. To aapka swaroop bhi bhagwat swaroop hai. Ye man aap nahi hai. Aap buddhi nahi hai. Aap chitt nahi hai. Aap pran nahi hai. Aap sharir nahi hai. Aap swabhav nahi hai. Aap sabse alag hain. Bas yahi janne ke liye to sant mahatma pura jeevan laga dete hain ki hamara swaroop kya hai? To wo bhajan se aayega. Khub naam jap karo.
naam jap karo isi se samjh mein aa jaega. Nayan kumar chaube ji maharaj ji aapki kripa se chha mahine purv mujhe sharanagati mili. Gurudev bhagwan mere man mein hamesha sanshay bana rahta hai ki guru mantr jo ki sarvopri ke bavjud Gayatri ka jap karna uchit hai ya nahi. Aur dar laga rahta hai ki guru ke prati koi aparadh ya sharanagati? Nahi ab jab sharanagat ho gaye ho to guru mantr hi japna chahiye. Kiska prashn hai? Haan, ab guru mantr hi japna chahiye. Ab anya nahi jab ham jis marg mein aa gaye to usi marg ko pakde.
guru mantr japo chaturasi ji ka path karo. Radha vallabh shri Harivansh naam jap karo. Itne mein samay hi nahi rahna chahiye. Har samay Radha vallabh shri Harivansh Radha vallabh shri Harivansh aur jab pavitra hain to guru mantr jap rahe hain aur jab phir chaturashi ji padh rahe hain phir naam jap kar rahe hain phir mantr jap kar rahe phir isi ko jeevan bana lo to ek marg pusht ho jaega ab alag-alag hamare upasna nahi ab sab akar ek jagah mil gaye jaise peepal ke vriksh mein ki jad mein pani chadha do to dal patton mein sab jagah pahunch jaata hai ab sabke mul bhagwan hai yadi bhagwan ka ham bhajan kar rahe hain to sabka aradhan ho jaata hai.
matlab abhi to aap prarambh kiye hain. Apne log to brahmin ke ghar janm hua tha to Gayatri anusthan kiye hain. Yagyap dharan karke brahmcharya vrat lekar ke 108 kusha pakar ke pura sab wo sab karte karte jab yahan aae to sab chhod ke keval shri ji keval lal jo shri ji unhee charnon mein to bade bhagya se upasna milti hai. Ab upasna mein aa gaye ho to ab aa jana chahiye. Ab isi mein japna chahiye. Isi mein rahna chahiye. Sandhya kal mein baithe to bas guru mantr ka jap karen. Ab Gayatri ji ka vishram kar do aur guru mantr ka jap karo.
abhijeet ji shri Harivansh maharaj ji maharaj ji sahi aur galat ki puri jankari hone ke baad bhi man keval galat marg par hi jaata hai maharaj ji aisa aisa hi yahi to bada vichitra khel hai bole hamen jankari nahi thi galti ho gayi tab to baat samjh mein aati hai kam krodhash rajogun samudbhava ye kam aisa hai ye krodh aisa hai ye lobh moh mad matsar aise hain ki chahe jitna gyan ho sab ek bagal mein kar dete hain. Apni manmani karva dete hain. Agar bach sakta hai to bhagwan bachhate hain. Bhagwan ka naam bachata hai. Isiliye ham sabse kahte hain naam jap karo naam jap karo.
Radha Radha Radha Radha Radha nahi to jankari hai lekin uska prayog nahi hai. Prayog ke liye bal chahiye. Wah adhyatma bal se kyonki jankari ka ham prayog nahi kar pa rahe hain. Sabko jankari bahut jankari hai. Koi aisa nahi jisko jankari na ho. Dekho sabse bada gyan sansaar mein sabko marna hai. Ye jankari kisko nahi? Sansaar mein kuch bhi le nahi jana hai. Yah jankari kisko nahi? Achhche karm karoge accha phal milega. Bure karm karoge bulap. Yah kisko jankari le? Hamen lagta hai sabko jankari hai.
chhoti-chhoti baten to sabko aur itni jankari agar prayog mein aa jae dimaag mein to mahatma ban jae wo. Yar yahan se kuch jana nahi to jhagda kyon karna? Chori kyon karna? Ghus kyon lena? Kisi ki hinsa kyon karna? Paap karm kyon karna? Nahi karunga. Bhai kuch le thodi jana hai. Ham dharm se chalenge. Imandari se chalenge. Dusron ko sukh denge. Lekin bhaiya yah jankari dusron ko updesh dene ke liye hai. Apne liye jankari jo hai wo prayog mein tabhi aayegi jab bhajan karoge. Bhajan ke bina jankari ka sahi prayog nahi ho pata.
bhajan karo. Maharaj ji guru diksha jo mili hui hai ganv mein jo guru ji se liya par man jo hai ekdam chanchal hota hai mantr karo puja patho shri ji var mein laddu gopal unka snaan karo puja karo tabhi bhi man bhagta hi rahta hai dekho man manega naam jap se hamari baat pakdo agar ham har samay Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha wo kuch kah raha hai hamko ek nahi sunni uski Radha Radha Radha Radha to control mein bhale kar pao nahi to tufan ko rok lena sahaj hai man ko rok dena sahaj nahi hai. Bahut beiman hai.
bahut beiman. Jis indriy se man mil jaata hai, us indriy ka wo kam karva leta hai tab tak jab tak hamara bhajan paripakva nahi hota. To isko dekha hai. Yah itna beiman hai jo baat pakar le wo hat karke hathi hai. Chanchal bhi hai aur hathi bhi swabhav ka hai. Jiddi swabhav ka hai. Wo jiski hat pakar le wo karva ke manega. Bahut vichitra hai. Sab log dekh rahe ho aap man ki dasha ko to dekh rahe ho na. Ham ek dusre ki galtiya nikal sakte hain. Lekin jab imandari se apni galti dekhen to hamen dusre ki galti dekhne ki fursat hi nahi hai.
to naam jap ke bina ham man ko control nahi kar sakte. Jab har samay param pavitra bhagwan ka mangalmay naam chalta hai Ram Ram Ram Ram Radha Radha Radha Radha Krishna Krishna Krishna to isse jo power hota hai wo power phir rokta hai man ko phir ruchi nahi rah jati aap naam jap ke dekhiyega age chalkar aisa hoga ki khanpan aur sansaar ki ruchi nahi rah jaegi naam jap naam jap se baat banti hai naam jap karo jitna naam jap karoge utna hi apni jankari ka sahi prayog kar paoge aur naam jap nahi to jankari sab hai lekin galat karya rok nahi sakte.
ye teen aisi chijon hain jo bade-bado ko phisla deti hain. Kamini, kanchan aur kirti ye teen aisi hai jo bade-bado ko phisla deti hai. Isliye naam jap karo. Naam par ji ichhao ka aapka ye saman kaise hua? Maharaj naam jap se bhagwan bhagwan ke naam jap se naam jap karte karte karte karte karte karte karte ab wo jo kamna ke liye ichchha rahti hai wo kamna wali jagah nahi rah gayi to ab koi ichchha nahi hai jo kuch uchit aaya usko prasad pa liya sharir poshan ke liye naam jap ke prabhav se ab koi mahatva nahi rah gaya accha waise chahe thoda mahatva rah hi jaata lekin ab jab marne ka roz ham apni tayyari rakhte hain na to koi mahatva nahi hai kyonki hamari donon kidney phayl hai.
ab dialysis hota hai. To ab yah ki kabhi bhi mar sakte hain. Kuch hamara hai nahi. Sharir chhut hi jaega. To ekdam ek matlab shunya mein aa gaye hain. Ab jaise bhagwan chalave waise chalave. Ab koi chah nahi hai ki yar ye dawa mil jae ya yah khane ko mil jae ya. Ab pata hai ab jana hai. Ab jana hai. Yahan se jana hai to bas jitna ban jae paropkar ban jae. Jitna ban jae bhagwan ka bhajan ban jae. Jitna ban jae dusron ko sukhi kar de. Bas yahi ek bhavna rah gayi aur to Radha Radha Radha par ji hamen bhi pata hai sabko ki jana hai bat phir hamari kyon ruchi usi aur hai?
kyonki abhi pakka pata nahi jana hai. Aapko pakka pata nahi jana hai. Yah hai ki are yar kahin 70 80 90 mein jana hai. Hamen to pakka pata hai ki ab jana hai. To ab yah lagta hai ki jaise gaadi ke pahie tut gaye hain. To ab kitna chalegi? Kitna chalegi? Donon phayl hai to kitna chalegi stapli lagegi maharaj ye baat jarur hai is stapli lagi hai Priya lal ki thakur ji ki kripa ki stapli lagi hai wo bina pahiya ke bhi dauda sakte hain mukham karoti vachalam pangum langte girim yat kripa tam vande parmanand madhwam wo mookh ko vachal kar de pang ko pahar chadha de wo bade kartum kartum anytha kartum hai mohan Mishra ji haradwash dada bolo shri Harivansh shri Harivansh maharaj ji maharaj ji meri umr 25 varsh hai.
aapki prerna se brahmcharya aur naam jap ke madhyam se adhyatma marg par pichle kuch mahino se badhne ka prayas kar raha hoon. Maharaj ji mujhe purv mein bhogon ke prati rahe maleen man ke prati khed utpann hota hai. Mera sawal hai ki maharaj ji hamare desh mein brahmcharya jaise vishay par bachpan se hi mata-pita aur hamari shiksha pranali khulkar charcha kyon nahi kar pati? Maharaj ji vartman mein ye kaise sambhav ho pa raha? Bahut kathin hai bachchha. Jab usko charcha karo to log use dushit baat samjhte hain.
nahi jaise kaha jae apne ki bhai aap log ko ek avsar mila hai. Hamare shastr mein jeevan ko char bhagon mein bant diya gaya hai. Pahla brahmcharya, dusra grihasth, tisra vanprasth aur chautha sanyaas. Yah purn manav jeevan ki purnata hai. Ab jab niv hi na hogi to mahal kaise khada ho jaega? Manushya jeevan ki niv hai brahmcharya. Ab chhote-chhote bachchon mein gandi baten aa gayi hain mobile ke karan aur kusang ke karan. Hamare samne aise aise bachchhe hain jo 12 varsh 13 varsh ke hain aur hastmaithun ke shikar ho gaye.
yah galat aacharan mein aa gaye to ab unka jeevan kya khokhla ho jaega? Jawani ate-ate wo apne ko khokhla kar denge. Hamen lagta hai ki jaise pehle gurukul jo hote the to usse hamare samaj ka bahut sudhar hota tha ki bachchhe guru ji ke yahan rahte the. To wahan gurukul mein brahmcharya ki shiksha di jati thi. Shastron ka swadhyay, trikal sandhya, tarpsn, bali vaishy dev ye sab sikhaya jaata tha jo hamare dharm ka swaroop hai. Ab bachpan se jahan wo kuch bolna seekhte hain to ae bi si di sikhai jati hai. Aadhunik shiksha sikhai jati hai.
aadhunik shiksha badhiya hai. Lekin adhyatmik shiksha ka support hote hue par adhyatmik shiksha ka support bilkul nahi hai. Aaj ke adhyan mein bilkul adhyatmik shiksha ka kabhi yah nahi sikhaya jaata ki prat kal brahm muhurt mein 4:00 baje utho aur uthkar apne mata-pita ke charan chuo. Phir shauch snaan aadi karke phir Gayatri mantr japo. Bhagwan surya ko argh do. Kam se kam do kal ki sandhya to karo hi. Prat kalin aur sayank kalin sandhya. To ye sab kahan rah gaya? 9:00 baje tak to bachchhe so ke uthte hain.
aajkal to 111 baje tak log so ke uthte hain. Agar bachchon ko jagaya jae to wo jagne ke liye tayyar nahi. To adhyatmik support na hone ke karan hamari prambhik dincharya hi bigad jati hai aur koi dincharya nahi to aradhna dev aradhna kaise hogi lekin Gurudev aapne sach mein jeevan badal diya tamam logon ka aap aaj ham dekh rahe hain hamare kshetra mein kafi log aise media mein hai lekin wo apna chintan badal rahe hain apna jeevan badal rahe hai ye aapki kripa se hai aapne lakho karodon yuvaon ka jeevan banaya hai Gurudev ye kripa banae rakhna aur ham sach mein ye mere jeevan mein hua hai Gurudev maharaj ji abhi charcha chal rahi thi isliye aapko bata rahe hain.
maharaj ji piche ek sal se is pe kam kar rahe the. Ek brahmcharya kab kyon aur kaise? Aapke matlab pravchno se aur aapne jo aaj tak maharaj ji iski vishay suchi mein aapko char khand mein maharaj ji isko kiya hai. Jaise ye kah rahe hain ki school mein vidyarthi aadi ya kinhi ko to brahmcharya kya hai? Usko virya utpann kaise hota hai? Ya uske rakshan ke liye kya-kya hamen dhyan rakhna chahiye? Hamari dincharya kya honi chahiye? Hamara khanpan kya hona chahiye ya agar vidyarthi hain to brahmcharya kaise agar ham sanyasi hain to phir brahmcharya ka kya mahatva hai yahan bahut bahut sundar bahut sundar likha hua hai maharaj ji pura sanklan pichle ek sal se is pe ham kam kar rahe the bahut sundar bahut to abhi ye lagbhag ho gaya 15 20 din mein maharaj ji ye sabke liye jansadhaaran ke liye wo ho jaega jitni bhi vaniyan thi brahmcharya pe us sabse sanklan karke bhi ab dekho ismen likha hai virya hi hriday ko pusht tatha kartavyasheel banata hai.
veer se hi sarvang mein jivni shakti sanchalit hoti hai. Jis jo veeryavan hai, brahmacharyavan hai, wo bada tejasvi hoga. Matlab antarik uski srti bahut hogi. Veer se hi mastishk shant aur vichar shakti sampann rahta hai. Overthinking jo negative chintan hai ye kaata hai. Jo brahmcharya hai wo gambhirta aur shanti pradan karta hai. Veer se hi drishti aur shravan shakti sthir hoti hai. Veer se aapke jo veeryavan hai unke jyoti netr ki aur unki shravan shakti badi pusht hogi. Veer se nirbhayata aati hai.
veer se swatantrata aati hai. Veer se utsah badhta hai. Veeryavan sahsi hota hai. Veeryavan parakrmi hota hai. Veeryavan alasya rahit hota hai. Veeryavan ko rog daba nahi sakta. Veeryavan nirbhal nahi ho sakta. Uske andar atambal hota hai. Kalushta nahi hoti, damb nahi hota, pakhand nahi hota, agyaan nahi hota aur avinay nahi hota. Veeryavan vinay hota hai. Durgun duracharya bhag jaate hain jo brahmcharya rahte hain. Jo veeryavan hai wo har karya ki siddhi kar sakte hain. Jo brahmachari hai wo har karya ki siddhi kar sakte hain.
jo veeryavan hai usse pusht aur svasth santan utpann hoti hai. Jo veeryavan hai wo sundar hoga. Usmen ek akarshan hoga. Usmen sabhyta hogi. Usmen pavitra hogi. Usmen dhairya hoga. Usmen punya aur sad vihaar karne ka swabhav hoga. Wo jo karya karega wo punyatmak karega aur sad vihaar karega. Kahne ka saransh hai ki manushya sharir mein veer ek mahashakti hai jo iska adhik se adhik sangrah karta hai wo unnati ko prapt hota hai. Bahut sundar ismen likha hua hai. Bade-bade vaigyanikon ka mat hai ki srishti ke pratyek padaarth mein koi na koi sar tatv avashya hota hai.
usi tarah manushya ke sharir ka ek sarvochch sar tatv hai virya. Iske bina wah ek kshan bhi sakriy nahi rah sakta. To jo vyakti agyaan ke karan apne virya ka ksharan karta hai, nash karta hai usmen bahut se dosh utpann ho jaate hain. Ye bahut sundar granth hai. Bahut sundar granth hai. Ye jo satsang hai hamare un satsangon ka ismen sanklan kiya gaya hai. Ismen brahmcharya kab, kyon aur kaise rahe? Maharaj ji ismen jo prashn uttar bhi sadhako ke saath hue hain aapke jo brahmcharya ke upar poohe hain chahe stri sadhak ne wo bhi uska bhi jo jo aapne uttar diya hai bahut sundar bahut sundar agle 15 20 25 din mein iska ham jansadhaaran ke liye print aut ke liye bahut isse naujvano ko bahut labh milega matlab jo vidyarthi hain ya jo sanyasi hain striyan hain purush hain grast mein hain sabke liye alag-alag kis dasha mein kaise brahmcharya ko dharan karen matlab ye sankshep mein aur samjha dijiye ki age kaise ham log chale abhi to chal rahe hain lekin kabhi-kabhi ekdam se veg aata hai to badi samasya hoti hai.
age kaise us samay naam jap kar naam jap naam kirtan ye do hi bachhate hain. Kam ka veg tab hamko vyathit karega jo vishay pusas sangaste upjayte jab ham bhajan chhod denge aur usi vishay ka chintan karne lagenge tab wo hamari halat kharab kar dega aur agar hamare andar kam ka veg aa raha hai aur ham bhagwan naam kirtan karne lage satsang sunne lage matlab apne ko dimaag ko hamko use hatana hai hamko ya kisi sant se mil gaye bhagwat charcha karne lage kuch na ho to mobile se satsang laga lo. Kuch aise satsang rakho ki alag-alag dawa jaise man chanchal hai to kya karna chahiye?
agar hamare andar kam aa raha hai to kya karna chahiye? Hamare andar dhan ka lobh aa raha hai to kya karna chahiye? Alag-alag vishyon mein ekantik mein charchaen hui. Wo charcha alag-alag rakh le aur jab hamara man jahan pareshaan kare wo charcha sun lena chahiye aur naam jap jarur karna chahiye. Naam jap se bach jaoge. Naam kaata hai. Jaise wo andar se man ekaagr kar raha hai. Aapko kam mein kam krida mein ekaagr kar raha hai. Ab aap ekaagr na ho pao. Bas aapki chaturtaen hai. Agar ekaagr ho gaye to sankalp ban jaega aur sankalp ban jaega phir gadbad ho jaega.
sankalp na banne pao. Wo bar-bar pesh karega. Piche ke sanyog pesh karega. Jo piche galti ho gayi wah sukh aapke samne laaega aur aapko akarshit karega. Aapko hatana hai. Radha Radha Radha Radha Radha aur ek bar hata liye aap aur koi kriya nahi ho pai to agli bar wo 80% mein aayega. 100% mein nahi aayega. Aur agar dusri bar hata diya to kam hota chala jaega. Kam hote hote phiran hota hai aur khatm ho jaata hai. Phir dhire-dhire spharan bhi khatm ho jaata hai. Par yah bahut lamba process hai. Yah nahi ki do char sal mein khatm ho jaega.
lamba process hai. Hamare karm kaise hone chahiye jo hamko pata chale ki wo sahi hai ya galat hai. Shastr ke anusaar santo ke anusaar jo bhagwan ne shasta shastram prmanam te karya akary vyvasthit karya aur akary ki vyvastha shastr ke anusaar ki gayi. Hamen shastron ka pata nahi sabko to santo ki agyaa ke anusaar hona chahiye aur dusri baat hai sabke hriday mein bhagwan baithe hain to aap koi galat karna chahe to ek andar se awaz aayegi yah galat hai aap unhin ki baat man lo bhagwan andar Baba brajvasi se sambandh kaise brajvasi ka bhagwan se ya brajvasi ka sant se brajvasi ka sant se sambandh kaise jaise apne ghar ke janon se sambandh hota hai kyonki brajvasyon ke sant juthan kha ke unki charan raj ke bal se wo sant bante hain.
isliye brajvasyon ki kripa santo par aisi rahe jaise apne lala pe kripa rahte hain. Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha
Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha milenge divya darshan bas ye lekar man chale aae na kuch der ki bas yu man lo fouran chale aae jagat ki ulajhnon ki akhri suljhan hai Baba Premanand isi ummeed mein ham aaj Vrindavan chale aae hain aur ek daras pa lene se hi mit jaate hain man ke sare dwaand bhakti marg par chalne se jeevan ke sab kat jaate hain fand aur aaj trend mein do hi chijon bachi hui hai bharat mein ek to Radha Radha japna aur ek guru ji Premanand ek to Radha Radha japna ek guru ji Premanand Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha Radha hai Radha Radha Radha itna to kabahu hasi de ho itna to kabahu hans de sunhu kripalu kishori Radhe Radhe sunhu kripal kishori Radhe Radhe Radhe Radhe Radhe sunhu kripal kishori Radhe avasi kripa ki kol chit itno to abhu has ho tum mohi milo milo na kripanidhii moko dhundt to bhatke ho tum meri suno suno na kishori mo ko to nit din rate ho tum meri bah meri ba
tum meri bah kaho na gaho hansi bhuj pasar moso vinay kare ho tum mere drig phucho mat phucho pe so nit drig nir dhare ho ati nich kaha mukh mango itni to
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- ekantik vartalaap evam darshan #1401 — shri hit Radha keli kunj, Vrindavan mein pujya shri hit Premanand Govind sharan ji maharaj ke saath ekantik vartalaap. Sadhak apne jeevan aur sadhna ke prashn rakhte hain aur maharaj ji unka samadhan…
- sant bhagwan ke prashn par maharaj ji ne sadhna jeevan ke liye kya updesh diya? — maharaj ji kuch ham logon ko aap bata den ki jaise sadhna jeevan mein kya kaise kuch bhi aap apne mukharvind se kuch sab baton ki keval ek hi baat hai na vishay chintan hone pave na vishay kriya bas…
- parivaar mein nakaratmakta va kalah ho to kya karen? — eswi chaturwedi ji Delhi se Radhe-Radhe Radhe-Radhe maharaj ji maharaj ji parivaar mein nakaratmakta ho ghar mein kalah ho rahi ho grih yuddh jaisi paristhiti ban rahi ho to adhyatma ke raste par…
- ekantik vartalaap evam darshan #1400 — sanjeev mukharji share iven Radhe-Radhe maharaj aeeaeeti dhanbad se maharaj ji kripya mujhe bataiye ki main kaise kam bolun adhik sunun bolte samay naram rahun dusron ko apni baat rakhne ka mouka du phir…
- bhagwat marg par chalna chahte hain, par har din asfal ho rahe hain. — astha bora ji Jaipur se shri Harivansh maharaj Radhe-Radhe maharaj ji 2 sal pehle jab aapko sunna shuru kiya to janna hua ki ham kitna agyanta aur andhkar mein jeevan ji rahe hain. Aapko sunne se yah…
- bhagwan milenge ya nahi kaise pata chalega? — bhagwat darshan ka sarvottam upay kya hai? Bhagwan ke darshan karne ka sarvottam upay kya hai? Bhagwat darshan ka saral aur sarvottam upay din raat unke naam ka jap karo aur ekant mein ro bhagwan mil jao. …