॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

sansaar mein rahkar bhi bhagwan kaise milte hain?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

aise ek katha mein aise aata hai ki do mitra the. Ek ne kaha ham to nautanki dekhne ja rahe hain aur ek ne kaha ham ramleela dekhne ja rahe hain. To jo ramleela dekhne gaya uska chitt laga ki nautanki mein bada maja aata hoga usko. Ab wo puri raat isi baat mein raha ki nautanki mein kya-kya hota hoga aur wo jo nautanki mein gaya usne kaha durbhagya hai ham ramleela dekhne nahi gaye. Bhagwan Ram kaise honge lakshman uska chintan wo bana. Wah baitha ramleela mein lekin usko phal uska nahi mila aur wah baitha nautanki mein lekin phal usko ramleela ka mila.

to jo phal ki anubhuti hoti hai wo chintan se hoti hai. Hamara chintan kahan hai? Agar hamara chintan bhagwan mein hai aur ham sansarik karya kar rahe hain to ham bhagwat marg ke pathik hain. Aur yadi ham puja kar rahe hain aur chintan sansaar ka hai to bhagwat marg ke pathik nahi. Aap bahari puja bilkul nahi karte lekin gande aacharan nahi karte apna karm karte hain aur naam jap karte hain to aap bhagwan ko prapt honge aur bahari puja karen badhiya baat hai bhagwan ki bahar aur bhitar donon jagah puja karen par keval bahari puja kar rahe hain aur sansarikta hai to usse labh andar ka baat hai baat to andar ke chintan ki hai hamma

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi