॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

karm pradhan jeevan mein bhagwan ki bhumika kya hai?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

maharaj ji agar hamara jeevan karmon se bana hai to usmen bhagwan ki kya bhumika hai? Ham kahte hain sab kuch bhagwan ki kripa se hota hai. Unki kripa ke bina patta bhi nahi hilta. Hamari achchhi soch bhi unse aati hai. To phir hamare to sabse pehle aapko kisne karm ne utpann kiya ya bhagwan ne? Bhagwan ne. Theek hai. Karmon ka vidhan kisne banaya? Bhagwan ne. Theek hai. Aapko manushya janm kisne diya? Bhagwan ne. Karm se nahi kah sakti. Kyonki bhens bankar, kutta bankar, suar bankar hamne aise karm nahi kiye ki sarvottam manushya deh prapt kiye.

iske liye aata hai shastr mein kabahu ka karuna nar deh det is bin het sneh. Kabhi kripa karke bhagwan manushya sharir dete hain. Sanskriti maj bariyai ke payo manush deh vathakat darat sanskriti ke chakra ko rok kar beech se nikal liya aur bhagwan ne kripa kar mujhe manushya janm diya ab apna udhar kar lo aap yahan Vrindavan ai apne karm se nahi shri Radhika kripa binu sabke manan agam kishori ji ki kripa se ai aap sadhu sang prapt kiye apne karm se nahi ab moh bhav bhros hanumanta binu hari kripa sab kuch ye jo bhagvatik mil mil raha hai.

yah bhagwan ki kripa se mil raha hai. Ismen hamare karm nahi.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi