॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

chhoti umr mein bhagwan ko pane ki lagan kaise jagi?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

ki aapko itni chhoti umr mein paramatma ko pane ka junun maharaj ji kaise aaya? Purv janm ka koi sanskar hoga kyonki hamko kisi ne sikhaya nahi tha. Bas wo jab ekant mein akar baithe hain to bas andar ek jalan paida ho jati ki mataji marengi, pitaji marenge. Koi hamara hai nahi yar. To phir hai kaun? Yah jo vichar ate the, yah hamen ab abhas hota hai ki purv janm mein bhajan kiya hoga to adhura rah gaya hoga. Use pura karne ke liye bachpan se hi brahmin ke ghar mein janm hua. Us jagah janm hone par sansaar se ek vairagya ki jwala jali jisne 13 varsh ki avastha mein bhaga diya.

bas ek lagta tha agar paramatma nahi mile to jeevan ka janm lena bekar hai. Ab jaise hai is samay jaise hai ab sab normal ho gaya. Jaise apna yuddh vijay ho jae to raja apne simhasaan par baithkar shant anand leta hai. Aise sab kam shanti joi joi pyaro kare soi mohi bhave. Jaise pyare chalave jaise pyare rakhe jo pyare kare bas aise rah gaya

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi