॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

antar ki asli aawaz kaise pahchanen?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

par ji apne andar ki awaz ko kaise pahchane? Wo bahut dheemi awaz hoti hai. Galat hai. Bas aap jo karne ja rahe hain usne galat hai. Man bada jor karke kahta hai nahi hai. Ab wo dobara aapse nahi kahegi. Phir aapko vidhan banaegi ki yahan se chadho. Yahan se phaand kar jao. Aise aise karo. Aise aise aur fas gaye. Tab kahenge mana kiya tha. Tab tum kahoge yar hamare andar to aaya tha. Man aur atma ki awaz ko pahchanane ke liye shastr ka swadhyay aur sant sang aniwarya hai. Jisse aap yah pehchan pao ki yah man ki awaz hai ki atma ki awaz hai.

man ki awaz vasna mein fansane wali hogi aur atma ki awaz man ko adhin karne wali hogi. Man ki awaz aapko adhin karke vasna mein fansa degi aur man yah bardast nahi karta ki wo kisi ke adhin ho. Wah to sabko adhir rakhna chahta hai. Isliye atma ki awaz ko daba deta hai aur apni awaz itni jor kar leta hai ki hamko wahi karna parta hai jo man kahta hai. Ab bhajan karen, shastr swadhyay karen, santo ka sang karen to hamare andar gyan badhe to ham apne man ko daba paye aur atma ki awaz sunkar ham chal paye.

shastr aur santo ki baat suno aur naam jap karo to andar ki awaz ko pakar paoge. Jati to sabke andar hai lekin usko pakar pana aur uske anusaar chal pana yah kathin

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi