॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

bhagkar shadi karne se pehle ye haqeeqat jaan lo..shubh vivah !

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

dekho jo ye bachchhe ek dusre ko bhaga le jane wali vritti rakhte hain na wah bahut dukh pate hain. Matlab mata-pita salo lagate hain apni bachchi ke byah ke liye salo ja ke agal-bagal pooch ke rishta nata uske aacharan uske tab jakar apni bachchi ko sammaan ke saath uske hath mein dete aur tum jo do char baten kahi bhag gayi uske saath to pura jeevan nirvah thodi hoga to wo kaisa vyakti swabhav wala hai dekho prejent ka swabhav alag hota hai lekin hamara ekantik jeevan kaisa hai hamara personal jeevan kaisa to jab aap kisi ke personal jeevan mein ghusenge to aap khatra payenge.

isliye mata-pita ki anumati avashyak hai kyonki wah achchhi tarah dekh sun ke apne bachchhe ko sukhi karna chahte hain. Par aajkal bachchhe aise mata-pita ko kuch nahi samjhte hain. Manmani aacharan karte hain. Bahut vichitra dasha rahi. Bahut vichitra dasha rahi. Jo jawan bachchhe hain wah budhe mata-pita ko peet rahe hain apne mata-pita ke anusaar aur matri devo bhav pitr devo bhav shastr ved agyaa karta hai agar mata-pita ki aradhna nahi hui to bhagwan ki aradhna kaun kar sakta hai bhagwan to avyakt hai mata-pita to vyakt bhagwan hamare virajman hai isliye samaj ko adhyatmik shastron ka swadhyay karna chahiye adhyatmik santo ki vani sunni chahiye aur uske anusaar apne aacharan banane chahiye

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi