॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

dosti mein paisa liya kya lautana zaroori hai?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

ki agar kisi ka ek rupya bhi karaj ho jae to dobara janm lena padega. To maharaj ji isi chij par sunkar main bahut pareshaan ho gaya tha. Ek do rupaye to idhar-udhar ho hi jaate hain maharaj ji. Maharaj ji anjane mein agar karaj ho jae. Anjane mein aise koi baat nahi hai. Lekin jankar hamne kisi se ₹500 liya hai ya ₹500 ki chij li hai. To mujhe apne jeevan mein chahiye ki bahut jaldi nipta den. Ham uska karja na le. Ji. Kya koi agar khanpan karae ya koi kisi ne petrol bharwa diya ya kisi ne koi uphar de diya.

kya ye bhi karje ke antargat aata hai? Nahi karje ke antargat nahi aata hai. Yadi hamara koi relation hai ya koi bhavukta ka bhav hai aur ham uske ghar jaate hain hamen prasad pawa deta hai to wo kabhi hamare ghar aata hai prasad pa leta hai. Iska koi karja nahi. Ab hamari gaadi mein petrol kyon dalwa raha hai? Hamen dekhna hai ki hamse koi bura aacharan to nahi karvana chahta hai. Ghus to nahi de raha hai hamko. Ham aise kyon dalwa le petrol? Dosti yari mein. Haan to dosti yari mein to dost hai to phir ye dal deta hai to ham kabhi uska bhi karya kar dete.

wo baat alag hai. Aise nahi aise kaise koi hamari jeb mein paisa dal de aise koi aise kaun kar raha hai? Ham jaise char dost aae hain. Kal hamen khila diya bade hotel mein. Dekho dost dekho dost ki baat alag hai. Agar wo karorpati hai to apne hisaab se khavaega. Jab hamare ghar aayega to ham bora mein bicha karke usko roti daal pavaenge. Wo baat alag hai. Karja ek alag chij hoti hai. Do ye khanpan log wo hamko rabri pawa raha hai. Hamari samarth hai to ham chai pila rahe to tumhari chai uski rabri ki samanta kar lenge.

kyonki aap garib aadmi ho dhani hai aur donon dost hain to ₹1000 ka bhojan pawa deta hai. Hamare paas pani hai to ham keval pani pila dete hain to barabar ho jaega. Apne man se koi de di. Kyon le? Kyon le? Yah bhi to hona chahiye. Kyon le? Haram ka kyon le? Haram ke khane ki aadat kyon bana? Nahi lena chahiye. Nahi lena chahiye. Mehnat ki kamai. Ham aise kyon le? Aise kyon le len? Aise adharm ki baat

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi