॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

jo log bar-bar kasam khate hain, zarur dhyan den !

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

jaldi-jaldi kasam nahi khani chahiye. Ye log jo kasam khate hain, tod dete hain, phir sankalp karte hain, chhod dete hain. Unke punya nasht ho jaate hain. Hriday jalenga, avnati hogi, uphash hoga, ninda hone lagegi. Aise aacharan ban jaenge. Jaise aap koi nasha kar rahe hain. Koi galat aacharan aap mein hai to kasam mat khao. Niyam lo. Main aaj se nahi karunga. Koshish karunga. Mahina do mahina koshish karo. Har jao phir koshish karo. Kasam tab leni chahiye jab do char mahine wo kam na karen. Ki jab hamne dekh liya do char mahine se main aisa nahi kar raha.

ab main kasam le sakta hoon. Pehle kasam le lene se phir tut jane par phir aparadh lagta hai aur punya nasht hote hain. Pareshaniyan aa jati hai. Isliye sahsa jaldi kasam nahi khani chahiye. Sankalp nahi karna chahiye.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi