॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

ghar chhodkar jane wale bachchon se pujya maharaj ji ki prarthna!

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

prashn tha kah rahe hain ki bahut sare bachchhe bade chhote aapki vartalaap sunke maharaj ji ghar chhod ke aa jaate hain. Phir matlab unko ham samjhate hain ki bhaiya aap apne ghar mein rahie to maharaj ji unke liye aapka kya nahi ghar chhorne ke liye ham kisi ko bhi nahi kahenge kyonki kalyug hai aur pure jeevan bhar sanyam se chalna bahut kathin hai. Ghar mat chodo. Koi bhi ghar se mat bhago. Ghar mein rahkar bhajan karo. Mata-pita ki seva ham kya kah rahe hain? Abhi hamari baat ko samjho. Hamara man khojta hai ki koi hamara ho to usi parivaar ke beech mein rahkar ke yadi apne man ko bhagwan mein laga do to kitna badhiya ho.

ab ham logon ne jo kasht saha hai tum soch bhi nahi sakte ki wo kasht aise kaise garmi sardi barsat bhookh pyas mar gali sab saha hai. Ab jo ham logon ki babagiri hui wo babagiri aaj ki kya hai? To hamen lagta hai bhagne se kam nahi banega. Ghar mein rahkar bhajan karne se kam banega. Apne mata-pita ki agyaa mein raho. Kabhi koi bhi bachchha bachchhe bhag karke na ave hamari baat man lo kyonki tumhara galat prayog ho sakta hai. Tum kisi galat hath mein par gaye to tumhara jeevan barbad ho sakta hai. To tumhen chahiye ki apne mata-pita ke sanrakshan mein raho aur bhajan karo.

satsang sun lo. Kisi se zyada lagav mat rakho. Sant mahatmaon ke vachan se lagav rakho. Sant mahatmaon ki baat sunie. Duri hokar apna bhajan karo. Aaj ka jo samay hai wah bhajan karne se banega. Kahin kisi ke ashram mein jane se ya kahin kisi bhag ke jane se banne wala nahi. Yah baat samjh lo. Bilkul kahin kisi bachchha bachchi ko ghar chhodkar nahi bhagna chahiye. Hamari prarthna hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi