॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kartavya nibhane ke baad bhi agar log prasann na hon to kya karen?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

apna kartavya har kisi ke prati nibhane ke baad bhi agar koi khush na rahe to hamen us chij ko nahi rahe. Yah sansaar ka niyam hai. Aap kisi ko pyar karoge, aap kisi ko sukh pahunchaoge wo palat ke aisi cheshta karega ki aapko dukh hoga. Aapko rona padega. Ye yahan sansaar ka niyam hai. To apne hain ki jo hamen gali de uska bhi mangal manaye. Lekin aap logon ka hriday isliye dukhi ho jaata hai ki kam se kam yar ham tumhen itna sukh de rahe hain, itna anukul ho rahe hain to tum pyar se to baat kar lo lekin sansaar aisa nahi hai.

aap jitna sukh doge uske pratikul aapke saath vihaar karega. Meri kami hai ya niyati ka hi aisa vidhan hai. Ye maya ka aisa khel hai. Isiliye santo ko sikhaya gaya hai ki saho sah jao. Sah jaoge to dukhi nahi hoge. Nahi to dukh dega sansaar. Pakka dukh dega. Pakka koi aisa nahi. Chahe bhai ho chahe koi bhi ho. Chahe jitna aap sukh bicha do apna sab kuch khali kar do lekin jab tumhara number aayega usse jara bhi lene ka to aapko uska chehra badla nazar aayega. Sansaar ka khel aisa hai ki agar aap varsho seva karo aur ek bar pratikultaa usko lag jae wo tumhen to hamen lagta hai ham aisa na dekhen.

ham bhagwan ko samarpit karen. Jo neki kiya wo bhagwan ko samarpit hai. Tum bura karoge bhagwan tumhen dekh raha hai. Ham accha kar rahe hain. Bhagwan hamen dekh raha hai. Ham apni achchai na roke. Logon ko jo jaisa vihaar manave vaisa karen. Hamara kartavya hai logon ke prati accha vihaar karna. To ham jit jaenge.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi