॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kya Movies dekhna papkarma mana jaata hai?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

naam jap karte samay ab jaise ki deli aapse jab se jude tab naam jab juda hai to maharaj ji koi muvi ya kuch dekhne mein bhi aajkal dar lagta hai ki koi isi se koi paap to na ho jae. Kabhi muvi dekh bhi lete to otometik andar se naam jap chalna shuru ho jaata hai. Haan bilkul ye bahut kripa hai. Maharaj ji kabhi agar grahasti jeevan mein koi chij dekh bhi le koi muvi ho gaya koi film ho gaya koi paap to nahi nahi nahi koi paap nahi hai. Par kahe ko man ko ham ganda karen? Bas yah chij samjhna hai. Man mein otometik dar lag jaise muvi mein koi chij hamko pasand aa gayi koi gandi baat to man pakar lega.

ab jab aap bhajan mein baithoge to gandi baat phenkega. To hamko chahiye ki apne man ko achchhi baten pakdave. Gandi baton se bachave. Koi bolta hai muvi dekhne chalte to dar lagta hai ki nahi kahin naam jab kam ho jaega. Do ghante haan chahiye. Aisa hi chahiye ki sansaar ke drishyon ko dekhne se bache. Ki manushya swatah hi un chijon mein zyada ruchikar kyon mehsus karta hai? Kyonki unhin ka bana hua hai na. Prakriti ka bana hua hai na to prakriti mein hi uska rujhan hai. Jaise pani kahin bhi chodo wo niche ki taraf jaega dhalan ki taraf jaega to man ko chodo wo gandi baton mein jaega.

upar kaise chadhaen? Jaise pani ko upar chadne ke liye yantr ki zaroorat hoti hai. Aise man ko upar chadne ke liye mantr ki zaroorat hoti hai. Khub mantr japo, naam jap karo.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi