॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

meri maa mujhse galti hone par khudko kasht pahunchati hai,aap kuch bol dijiye!

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

maharaj ji meri mata ji kabhi mere karan krodhit ho jati hai aur swayam ko belan se jhapad marti hai. Galat hai. Aap mata ka swabhav to galat hai hi lekin aap bhi galat hai. Gussa ho jane par bachchhe ko uchit vakyo dwara uchit dand ke dwara sudhara jaata hai. Pyar se samjha dena chahiye is tarah. Pyar se samjhate hain par bachchhe nahi sunte hain aajkal ke. Ham kai bar bolte hain ki beta aap is chij ko follow karo. Par nahi sunte hain to dekho uska karan hai aap. Aap aapne bachpan mein sanskar nahi diye unko adhyatmik.

agar aap maa hokar ke unko adhyatmik sanskar deti aapko unse kahti pair chuo jab wo chhote the agar chhote se baitho ek mala Radha naam jap karo Radha Radha bolo tumhen tab ham bal bhog denge regular bolti hoon main nahi sunte hain dekho ab bade ho gaye hain ab ab sunna inke bas ki samjhaie bachchhe aapki bahut sun rahe hain. Aaj ki jo janreshan hai wo aapko bahut follow kar rahi hai. Bhai hamari izzat rakh lo yar. Hamari izzat rakh lo ki apne mata-pita ke roz charan chuo aur mata-pita ki agyaa ka palan karo. Aap inki mata ji hain.

aapko chahiye ki is tarah ka vihaar na karen. Mata ji ham bachchon ko mar bhi nahi sakte hain to main apne aap ko hath nahi nahi aisa uchit nahi hai. Nahi sunte hain maharaj ji. Haan agar wo nahi sunte to bhagwan se prarthna kijiye ki unko sadbuddhi den aur naam jap kijiye aur inko dijiye. Ji ji bilkul sikha rahi hoon. Maine apne aap ko bahut shant kiya hai. In bachchon ke liye hi main dekho wo kah raha hai main kha jaaunga. Mujhe dikkat nahi hai mamma ko. Haan wo ye kah rahe hain. Dekho wo kah raha hai mujhe dard hota hai agar main inko marti hoon to.

haan to tumhen jab marti ho apne ko to isko dard hota hai. To hamen lagta hai donon ko dard na ho aisa karo. Tum aisa karo apni maa ke charan chu karke aaj se niyam lo ki ham maa ke virudh aacharan hai. Theek hai? Aur hamari izzat rakh lo. Kah rahe hain aaj ke nau ladke aapki baat mante to hamari baat man jao yar. Hamari baat man jao. To hamari tumhari dosti ho jaegi. Theek hai? Dosti manjur hai to mata ke roz pair chuna. Roz pahachna aur jab jo kahe use manne ki koshish karo. Galat wo kahegi nahi maa hai.

wah aapki unnati chahegi. Hamen lagta hai koi maa aisa nahi chahti hamara balak gire gande marg mein jae ya wo dukh pave. Samjh rahe ho na? To apne mata-pita ki baat manani chahiye. Chahe bachchi ho, chahe bachchha

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi