॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

gusse mein maine pati ko baddua de di; ab mujhe dar lag raha hai.

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

kuch samay pehle pati ke galat vihaar se krodhit hokar pati ko kah diya tum bhogoge agar Ram naam satya hai to tum pakka bhogoge to matlab tab se bhajan bhi ruk gaya aur dar bhi ho gaya pati ke prati ki kuch na ho jae unko haan nahi aisa nahi kahna chahiye kyonki tumhare Ram tumhare pati hain pehle tum hi galat ho apne Ram ko galat sabit kar rahe ho pati mere liye bhagwan hona chahiye patni mere liye ardhanag hona chahiye tabhi grahasti chalti hai ab pati ko agar tum bhagwat bhav se nahi dekhoge ya patni ko aap ardhanag bhav se nahi dekhoge to phir paraspat bair ho jaega phir theek nahi rahega phir kalah ashanti ladai jhagda wo grahasti narak ban jati hai jahan pati patni mein ladai hota hai na wo grahasti narak ban jati hai wahan lakshmi tikti nahi hai isliye hamen chahiye donon ko sahi dhang se chalna chahiye bhagwat bhav rakhkar chalna chahiye jab gussa ave to chup ho jana chahiye galat nahi bolna chahiye maharaj ji main aise kuch galat nahi karti wo chhoti-chhoti chijon ke liye kabhi-kabhi aisa hota hai ki bahut aisa naraz ho

jaate hain chhoti-chhoti baton mein sahan karna sikhen. Chhoti-chhoti baten hi bada rup le leti hai aur updrav hone lagta hai. Ham use chhota na samjhe. Chingari ko chhota na samjhe. Agar pooch mil gayi to wo jwala banne mein der nahi lagegi. Krodh rupi chingari bahut bada ahit kar sakti hai. Isliye hamen krodh rupi agni ko shant rakhna hai. Naam jap karo. Jab krodh ave dati pees lo ki mujhe maun rahna hai. Bolna nahi hai. Hat jao wahan se. Jo upay aapko karna ho karo. Par krodh na karo. Krodh karne se hani hai.

lagta hai kab tak sah matlab galti hai to phir bhi Baba naam jap karoge to yah bhi baat khatm ho jaegi. Kab tak soun? Hans ke unka swabhav aisa hai. Unka swabhav aisa hai. Bhagwan ne unko swabhav aisa diya hai. Aisi bhavna karke shant ho jana chahiye. Ham satsang sunte hain, ham bhajan karte hain to hamko shant ho jana chahiye. Wo satsang nahi sunte, bhajan nahi karte to unka aisa swabhav hai. Aise chalna chahiye. Bahut pyar bhara jeevan vyatit karna chahega.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi