॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

safalta unhin ko milti hai jo kasht sahte hain!

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

ek patr banne mein mitti ko kitni pida sahni padti hai. Pehle to usko khudai karke viyog sahna parta hai. Jahan se khudai ki mitti ke samuday se use alag hona parta hai. Phir uski kutai hoti hai. Aur itni kutai hoti hai ki ek chhota sa rai bhar bhi dana na rah jae. Sab paudar ban jae. Dat ke kutai hui. Phir iske baad pani dal ke kachrai hui. Kachra ke phir usko kachar ke aur usko milake ekdam rabri jaisa pure bana karke ekdam kahin koi bhi kankar koi bhi nahi rahe use chak pe chadaya aur jaisa chaha vaisa akar de diya ek mitti ke patr ko banane ke liye itna usko sahna parta hai to bhagwan ka kripa patr banne ke liye kitna sahna padega isliye tayyar raho sahna to padega hi chahe burai se pit ke aur chahe achchai se pit ke pitna donon mein padega achchai se pit ke chamkoge aur burai se peet ke mit jaoge.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi