॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

pati ya bachchon mein kiska paksh lun?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

maharaj ji apne pati athva bachchon mein se kiski taraf zyada kartavya nibhana chahiye? Donon ki taraf hamara saman kartavya hai. Ek jagah hamara vatsalya hai jo hamare putr hain aur ek taraf hamara dharm hai jo hamare pati hain. Dharm ka murtiman swaroop bhagwan ke swaroop pati hain. Jab donon mein alag hone ki baat ho ki ham kis paksh mein jaen to pati paksh mein aur pati ko anukul karke phir putr ka palan poshan karna. Paksh lenge pati ka lekin usko anukul karke vatsalya ke dwara apne putro ki raksha karvayenge.

apne putro ka palan karvayenge. Par jab us samay hamen alag hone ki baat aayegi to ham paksh pati ka lenge. Pati ka paksh isliye dharm kahta hai. Wo hamare prabhu hai. Hamare ishwar hai aur phir unko anukul karke ham apne putr ka palan poshan karvayenge. Donon ke prati hamara pyar hai. Ek taraf vatsalya hai aur ek taraf hamara dharm ke yukt sambandh hai.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi