॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

kya mobile mein satsang sunne se jeevan mein badlav ate hain?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

mobile agar kalyug ne chalaya to usmen gun bhi hai aur dosh bhi hai. Kalyug aadhunik jo chalae hai accha suno tum roz katha baith ke hamare paas thodi sunte ho lekin roz mobile se sunte ho tumhara parivartan hota hai ki nahi aap aae hi wo mobile se sun ke to ab aap mobile ko agar bura kah do ki mobile to aadhunik kalyug ne chala diya to usmen bura bhi part hai aur accha bhi part hai to waise shastr mein mobile bhi to nahi likha usmen to likha hai ki aise paraspat baith ke charcha bat aaj aadhunik yug hone ke karan kitna sahyog mil raha hai dekho hamko ye dekhna

hai ki hamari samaj ka parivartan kaise hona hai yug dharm hai kalyug ka prabhav lakho log jo aaj utsahit hokar naam jap mein lage hain agar hamari baat jhuthi hoti to aaj hamare lakho log jo bhartvassi hain ya videsh mein bhi hai wo kyon prabhavit hote parivartan hai ki nahi yar dawa doctor chahe jaisa ho dawa kam kare to hamen pakar leni chahiye ye dawa hai tum dawa khao sarjan dawa kam nahi kar rahi to hamare kis kam ka naujawan log madira mans chhodkar gande aacharan chhodkar bhagwat marg mein chal rahe to agar jhuthi baat hoti to kaise parivartan hota to baat samjhni ye bhagwat marg yah satya marg hai aur bhagwan ke naam mein bhagwan ki mahima mein koi bhi badha nahi hai.

kalyug bhi badha nahi pahuncha sakta. Kalyug sahyog kar raha hai. Sab santo ki kripa se jo bol rahe hain wo santo ke mahapurushon ki baat hai. Wo tumhara kalyan kar degi. Bas hamara kalyan hona chahiye. Hamara mangal hona chahiye. Hamara parivartan hona chahiye.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi