॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

gau seva ke vishay mein pujya maharaj ji ne devi chitralekha ji ko kya kaha?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

Radhe Radhe maharaj Radhe Radhe Radhe ek apna braj mein gau mata ka aspataal hai bahut sundar bahut hospital hai maharaj ji jahan jo gau matao ka upchar wagairah bahut uttam baat hai jaise jin gaun ki seva nahi hoti ya jo gauen asmarth hain rogi hain unke dukh nivaran ki bahut badi baat hai aur paramarth karo jitna ave apne par kam kharch karke paramarth par kharch karo jeevan ka labh jo dusron ka hit karta hai. Bhagwan usse bahut prasann hote hain. Braj mein janm lene ke baad bhi aisi seva di hai ki brajwas nahi hota.

haan dekho ki ham jakar ke samaj ke soe hue logon ko jagakar naam rup leela dham mein lagaen to hamen is baat ki pashchatap nahi hona chahiye ki hamen dham vas nahi mil raha. Bahut se soe hue log hain jinko ghasit ke bhagavtacharya Vrindavan laye. Jinko ghasit kar rasacharya Vrindavan laye. Raas aadi ke dwara ham hi jo aae hain na to raas ke dwara hi to aae. Agar raas na dekhi hoti to hamare andar lolupata hi na badhti. Priya pritam ki jo asakti badi wo raas se hi badi to ham bhagwan ka jas ga rahe hain aur bhagwan ke parsad hain.

hamara chahe jahan sharir chhute ham dham mein hi jaenge. Yadi aap dham upasna aashray liye ho to aap america mein raho to bhi aapko jab sharir chhutega to aap Vrindavan hi aoge. Jaise bharatiya sainik kahin bhi sharir chhute tiranga mein lapte ke bharat hi aayega. Aise hi dham ka jeev kahin bhi sharir chode wo dham hi aayega.

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi