Kamdev ki maya ne kaise rishi ki tapasya nasht ki?
pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.
pura pravachan
ek bar ek jangal mein rishi rahte the to 12 varsh unhone vriksh ke sukhi chhaal ki papdi pakar ke aur kathin bhajan kiya. Ab to maha tejasvi ho gaye. Ek din kam prakt hua aur kaha kya tum samjhte ho ki tumne kam par vijay prapt kar li? To unka ek kam kya hazaron kam par vijay prapt kar chuka hoon. To bole maharaj ab main apne baan sandhan karta hoon aur aap sambhalo apne ko. To unka kaha jao nahi tumhen bhasm kar dunga. Itna kahkar chale gaye. Ab jahanjahan wo papdi khate the wahan wahan halwa ghee ka rishi ne jab dekha ki vrikshon ke jitne vriksh us jangal mein sab mein halwa laga hua to unhone kaha mere tap se bhayabhit hokar vriksh hamen lagta hai koi swadisht padaarth dene lage ab wo khane lage ab daso vriksh se jab paya to aadha kilo halwa to gaya na to haddi ke upar mans badhna shuru hua mahina hua ek din chhamam chhamam chhamam chhamam payal karti hui aur ek katra liye hue je hi dekha rishi kisi aa rahe to aise halwa laga ke bhago.
unhone kaha ae khadi ho jao. Tum kaun ho? Kya ye swadisht padaarth tum lagati thi? Kaha haan maharaj to bhag kyon rahe ho? Main aapke tap se bhayabhit hoon. Bole nahi nahi nahi mahino se itna swadisht padaarth pawar kyonki pehle ann jaega to buddhi badlegi. Tum itna swadisht padaarth pawar rahe. Tum bhayabhit kyon ho rahi ho? Bole maharaj vriksh mein chupchap isliye laga jati thi ki aapki seva ban jae. Main aapki seva karna chahti hoon. Bole lao katra vriksh mein lagane ki zaroorat nahi hai. Ab roz katra leke tum le aa jana main is kutia mein rahta hoon.
katra lekar aa jane. Hamne chailenj kiya tha main apna baan sandhan kar raha hoon. Tum savdhaan phir ek din pucha tum is jangal mein kyon rahti ho? To unhone kaha meri maa tapaswini hai to main apni maa ke saath rahti hoon. To akhirkar tumhen byah to karna hi padega. Kaha ye to maa ka vishay hai. Mera vishay to hai nahi. Ye to maa jane. To bole maa se baat karke aap kal ana. Bole avashya dusre din padhari maharaj main nirash hoon byah nahi ho sakta bole kyon nirasha kyon bole maa ne ek shart rakhi hai ki apna muhn kala karke mujhe pith mein baithaal kar aur apni kutia se aur meri maa ki kutia tak aapko ghutnan ke bal chalna padega aur main aapke pith mein aur aisa main aapse karvana nahi chahti.
kaha agar sandhya kal mein ye kam ho jae to bole kal koi bhi ho lekin aapko ye karna padega agar byah karna hai maharaj raji ho gaye muhn kala kiya pith par bithala ghutne ke bal chale jab wahan pahunche to kam khada tha usne kaha ye meri rachi hui maya hai main hi hoon iska Swami bol teri tapasya kahan gayi ye kaho ki main teri tapasya nasht nahi ki keval keval dikhaya hai tujhe ki agar tu tapasya ka ahankaar karega to dekh ghutle keval chal raha meri maya tere pith par baithi hui hai. Yah man bade-bade rishi munio ko mohit kar diya.
ham tum to bahut chhote log hain. Bahut chhoti samarth hai. Isliye bhagwan ka aashray le lo. Bhagwan jiski raksha karte hain, wahi apni dharm se pavitra se chal sakta hai.
yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.
mul video: Bhajan Marg (YouTube)
sambandhi
- kaun sach mein ganga mein nahaya? Bhagwan ne khola rahasya! — haridvar mein sab ganga ji naha rahe Parvati ji ne kaha prabhu kitne punya atma sab ganga naha rahe bole sab ganga nahi naha rahe pani mein dubki laga rahe koi birla ek ganga na snaan kare unka ab…
- shriji ki sharan mein hokar nishcint ho jao — bilkul nishcint raho. Shri ji ki sharan mein hokar Radha Radha agar hamare galat kadam ja rahe hain to Radha Radha Radha hamari bas nahi shri ji shri ji dekhna hamari bas nahi hai ham kahin bhi gir sakte…
- chandan ki tarah bano, kusang ka vish mat apnao! — agar tumhen satsang milta hai to kusang bhi apna prabhav dikhane ki koshish karega. Aapki nishtha, aapki bhavna itni surakshit honi chahiye ki kisi ka bhi kusang ka prabhav hamare man par na pare. Jo…
- ann ka aisa gahra prabhav ki sant se bhi ho gayi chori! — ek Paramhans ji jangal mein rahte the. Raja gaye. Bahut din piche pare. Nimantran diya chalo maharaj mahal mein gaye. Prasad paya. Ab wo raj vaibhav ka prasad jangal mein aae to unko gulahri pipri ye sab…
- jisse prem hota hai, uski har chiz pyari lagti hai — jab ham kisi ko apna mante hain to bar-bar uski charcha karne mein, bar-bar uski charcha sunne mein aur wah gali bhi pyari lagti hai jismen apna pyara rahta hai aur uske padosi bhi pyare lagte…
- bhagwan kab milte hain? Har sadhak ko janna chahiye | Shri Hit Premanand Govind Sharan Ji Maharaj — ek bar narad ji maharaj bhramn karte hue ja rahe the to kuch samip pe ek bat vriksh ke niche mahatma bhajan kar rahe the ek peepal ke niche bhajan kar rahe the to narad ji ko pranam karke bat vriksh wale…