॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

main jo bhagwan se mangti hoon, wahi mujhe nahi milta.

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

prichay jo ham chahte hain hamen ishwar nahi dete. Logon ko mangna bhi nahi aata. Thakur ji ke paas jaate hain bolte main ek bhog lagaunga. Hamara kam kar do. Thakur ji se mangna bhi nahi aata. Thakur ji ko thakur ji mano yar. Prabhu ko prabhu mano aur apna Swami mano, apna pritam mano, apna yar mano to abhi kam banne lage. Aap kya sochte ho? Aapke parivaar mein kitne log hain? Parivaar mein kitne log hain? 13, 13 tujhko arvan kar du. Kya lage mera abhi sari baat bhagwan ko laddu peda nahi chahiye bhagwan anant bramhandon ke Swami hai unko tumhara bhav chahiye unko bhav hai nahi prem hai nahi tapasya hai nahi to kamna kyon purti ho hamen batao na kaise purti ho kamna ki aise kamna ki purti nahi hogi aise aise bhagwan ko kosoma sampurn srishti bhagwan ka bachchha hai aur sampurn srishti ko avashyak samgri bhagwan sabko de rahe kamnao ki purti ke liye aapko tap karna padega.

aapko bhajan karna padega. Kamnao ki purti ke liye aapko bhagwan se pyar karna padega. Tabhi aap le sakte hain. Mere ishwar ki dukan mein hai. Sabka jeevan khata dukan mein vastu lene ke do adhikar chahiye. Pahla adhikar aapke paas rupya hona chahiye. To aap dukan se vastu le sakte hain. Ya aap ghar wale hone chahiye. To ghar wale hain to aap gaye bole bhaiya wo zaroorat hai jara wo saman dena to bina taul ke utni jitne de dega. Paise se matlab nahi. Kyon? Kyonki ghar wala hai. Aap do mein se kaun ho? Na aap hari ke ghar wale bane aur na aapke paas tapasya rupi dhan hai.

to aapki kamna kaise purti ho jae?

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi