॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

jab Sudama ji ne shrikrishna ki maya dekhi, tab kya hua?

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

ek bar Sudama ji ne bhagwan se kaha ki yar tum hamare dost ho aur mayadheesh ho yar hamen maya dikhao maya kaisi hoti hai bhagwan se kaha to bhagwan ne kaha chalo samudra snaan karne chalte hain Dwarika mein samudra hai na bole aao samudra snaan karne chalte hain dhyan se sunna to bhagwan aise aur Sudama ji samne bole chalo gin ke dubki marte hain 10 dubki marte hain Sudama ji ne je dubki mari to Sudama ji ne dekha ki main ek desh mein pahunch gaya aur us desh mein je bhi gaye to log unka pujan karne lage ki ye Sudama ji hai bhagwan ke mitra hain.

wahan ka raja bhi pujan karne laga. Raja ne kaha hamari beti byah yogya hai Rajkumari ab to inke saath ab byah kar dete hain. Sudama ji ka zabardasti Rajkumari ke saath byah ho gaya. Ab 10 panch ladke bachchhe ho gaye. To wahan ki pratha thi jis desh mein Sudama ji ka byah hua ki agar patni mar gayi pati ko zabardasti jala diya jaata tha patni ke saath ab unki patni mar gayi ab unko zabardasti shav ke saath bandh diya gaya aur je bhi chita mein aag laga de kua bole shri Krishna traahimaam raksha karo to bhagwan ne aise pakda aur uthaya bole yar lambi dubki mar diye kya bole prabhu ye kya dekh raha tha hamara to byah ho gaya ladka bachchha ho gaye kitne sal bole abhi abhi to dubki ki mari hai tumne wo bole kya tha bole yahi meri maya thi

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi