॥ श्री राधावल्लभो जयति ॥ श्री हित हरिवंश चन्द्रो जयति ॥
The Radhavallabh Times श्री हित समाचार भक्त चरित्र · युगल लीला · पद · वाणी · सत्संग
ताज़ा

grihasth jeevan ko saral banane wale maharaj ji ke updesh!

▶ YouTube

pujya maharaj ji ka ek sankschipt vachan — pura sunne ke liye upar video dekhen.

pura pravachan

ji aap sab trust mein rahte hain. Par trust ki bahut sari aisi jimmedariyan hoti hain. Parivaar ki jimmedariyan hoti hain. Grihasth karya hote hain. Office jana hota hai. Aise mein bhajan bahut badhit hota hai aur karna bhi chahe to ho nahi pata. Maharaj ji aise mein aapka matlab karna chahe to ho nahi pata. Aisi baat to nahi hai kyonki yuddh se badhkar ke koi kartavya karm mujhe to samjh mein nahi aata. Jab bhagwan ne arjun ji se kaha mamun smaran yuddhach mera smaran karte hue yuddh karo to hamen lagta hai ki har karya bhagwan ka bhajan karte hue ho sakta hai.

to jab ham ekaagr hokar apna karya kar rahe ho, bhagwan ko bhul gaye ho, to wah karm bhagwan ko samarpit kar den aur shesh samay bar-bar aap aisa prayas karen ki Radha Radha Ram Ram Krishna Krishna hari hari shiv shiv jisko jo priy lage wo naam barabar japne ka prayas karen. Office ja rahe hain. Naam jap kar rahe hain. Baith gaye naam jap kar rahe hain. Laiptop mein kam kar rahe hain. Ek ghanta kam kiya. Krishnapanmastu. Ek ghante ko Krishna arpanmasta kar diya. Phir naam jap kar rahe hain. Phir samay ko bhagwan ko arpit kar diya.

aise aath ghante ya 12 ghante jo ham duty karte hain, jo kam karte hain wo sab bhagwan ko samarpit kar den aur beech-beech mein naam japne ka prayas karen to jarur safalta prapt hogi. Isliye sabse prarthna hai aap prayas kijiye. Hariega nahi. Utsah badhiye aur har karya ke beech mein Radha Radha bol lijiye. Phir karya karte rahie to aapka param mangal ho jaega. Sare dukh nasht ho jaenge. Bhagwan ke naam mein paap nashak shakti hai. Jab paap nasht ho jaenge to dukh hi nahi rahega. Isliye hamen lagta hai khub naam jap karo.

man ke chakkar mein mat pado. Man lage na lage tum khub naam jap karo. Tumhara mangal

yah path video ke swachalit (auto-generated) upasheershkon se liya gaya hai — ismen shabdon ki trutiyan ho sakti hain. Pramanik vachan ke liye video avashya sunen.

mul video: Bhajan Marg (YouTube)

sambandhi